Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muflison ka qaumi tarana

Qazi Ghulam Mohammad

muflison ka qaumi tarana

Qazi Ghulam Mohammad

MORE BYQazi Ghulam Mohammad

    yahī mirī ḳhvāb-gāh-e-ishrat yahī hai merā nigār-ḳhāna

    dhueñ rangīn badliyoñ meñ pakā rahī hai jahāñ vo khānā

    yahīñ añdheroñ se mil ke ham chāñdnī ke chhakke chhuḌā rahe haiñ

    yahīñ hamārā sila muqarrar huā hai adbār-e-jāvedāna

    yahīñ use giilī lakḌiyoñ ne ḳhushī ke aañsū bahāte dekhā

    yahīñ use raakh tahoñ ne banā diyā ġhair shā.irāna

    yahīñ mirī saḳht-jān ġhairat ye bārhā sun chukī hai ab tak

    abe tirī muflisī ke charche sune the maiñ ne to ġhā.ebāna

    yahīñ vo jān-e-vafā mirī aarzū rangīniyoñ ḳhātir

    chhiḌak ke bāloñ meñ itr-e-andesha kartī rahtī hai in meñ shāna

    agar nahūsat jaan hai vo to banda īmān-e-muflisī hai

    isī liye ek dūsre se hameñ mohabbat hai vālihāna

    ilāhī terī ināyatoñ ye ek adnā hai karishma

    hamāre iflās-e-be-karāñ jo aaj hai mo'tarif zamāna

    vo us jaaḌe sard rātoñ meñ mujh se īñdhan baat karnā

    ki jaise ye chiiz māvarā.ī ho alif-lailvī fasāna

    tavīl fāqoñ ke ba.ad donoñ piich kar vo jhuum uThnā

    vo us sharmīlī nigāheñ vo mere jazbāt-e-āshiqāna

    ḳhushī meñ saarī ḳhudā.ī meñ half-day manāyā gayā thā us din

    vajūd meñ aa gayā thā jis din hamārī ulfat shāḳhsāna

    yahi meri KHwab-gah-e-ishrat yahi hai mera nigar-KHana

    dhuen ki rangin badliyon mein paka rahi hai jahan wo khana

    yahin andheron se mil ke hum chandni ke chhakke chhuDa rahe hain

    yahin hamara sila muqarrar hua hai adbar-e-jawedana

    yahin use gili lakDiyon ne KHushi ke aansu bahate dekha

    yahin use rakh ki tahon ne bana diya ghair shairana

    yahin meri saKHt-jaan ghairat ye barha sun chuki hai ab tak

    abe teri muflisi ke charche sune the main ne to ghaebana

    yahin wo jaan-e-wafa meri aarzu ki ranginiyon ki KHatir

    chhiDak ke baalon mein itr-e-andesha karti rahti hai in mein shana

    agar nahusat ki jaan hai wo to banda iman-e-muflisi hai

    isi liye ek dusre se hamein mohabbat hai walihana

    ilahi teri inayaton ka ye ek adna sa hai karishma

    hamare iflas-e-be-karan ka jo aaj hai mo'tarif zamana

    wo us ka jaDe ki sard raaton mein mujh se indhan ki baat karna

    ki jaise ye chiz mawarai ho ya alif-lailwi fasana

    tawil faqon ke baad donon ka pich pi kar wo jhum uThna

    wo us ki sharmili si nigahen wo mere jazbaat-e-ashiqana

    KHushi mein sari KHudai mein half-day manaya gaya tha us din

    wajud mein aa gaya tha jis din hamari ulfat ka shaKHsana

    Source:

    Harf-e-Shirin (Pg. 25)

    • Author: Qazi Ghulam Mohammad
      • Publisher: Idara-e-Adabiyat-e-Urdu, Hyderabad
      • Year of Publication: 1962
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now