muft mujhe badnam kiya
ḳhuub ye achchhā kaam kiyā
muft mujhe badnām kiyā
maiñ to chhoTā bachcha huuñ
dil kā apne sachchā huuñ
aaj laḌā kal mil lūñgā
duur shikāyat kar dūñgā
lekin ek laḌākā se
sab meñ tum ne 'aam kiyā
muft mujhe badnām kiyā
mujh ko kab thā andāza
chiiz kise maiñ lauTātā
paḌī milī thī raste meñ
rakh lī thī jo baste meñ
chhoTī sī is bhuul pe bas
chorī kā ilzām diyā
muft mujhe badnām kiyā
ahmar kī vo shoḳhī thī
us ne taḳhtī toḌī thī
mujh se teacher ne pūchhā
maiñ ne sach-sach bol diyā
merī sachchī bātoñ ko
chuġhlī kā kyoñ naam diyā
muft mujhe badnām kiyā
jaane sab kyā socheñge
jaane kyā kyā boleñge
merī bhī kuchh 'izzat hai
merī bhī kuchh qīmat hai
lekin nazroñ meñ sab kī
mujh ko yuuñ be-dām kiyā
muft mujhe badnām kiyā
nāhaq kā ye naam na do
bejā yuuñ ilzām na do
sach kyā hai tasdīq karo
rab se apne sadā Daro
āḳhir tum ne duniyā ko
ye kaisā paiġhām diyā
muft mujhe badnām kiyā
KHub ye achchha kaam kiya
muft mujhe badnam kiya
main to chhoTa bachcha hun
dil ka apne sachcha hun
aaj laDa kal mil lunga
dur shikayat kar dunga
lekin ek laDaka se
sab mein tum ne 'am kiya
muft mujhe badnam kiya
mujh ko kab tha andaza
chiz kise main lauTata
paDi mili thi raste mein
rakh li thi jo baste mein
chhoTi si is bhul pe bas
chori ka ilzam diya
muft mujhe badnam kiya
ahmar ki wo shoKHi thi
us ne taKHti toDi thi
mujh se teacher ne puchha
main ne sach-sach bol diya
meri sachchi baaton ko
chughli ka kyon nam diya
muft mujhe badnam kiya
jaane sab kya sochenge
jaane kya kya bolenge
meri bhi kuchh 'izzat hai
meri bhi kuchh qimat hai
lekin nazron mein sab ki
mujh ko yun be-dam kiya
muft mujhe badnam kiya
nahaq ka ye nam na do
beja yun ilzam na do
sach kya hai tasdiq karo
rab se apne sada Daro
aaKHir tum ne duniya ko
ye kaisa paigham diya
muft mujhe badnam kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.