mujhe achchha nahin lagta
mujhe achchhā nahīñ lagtā
koī dānista jab bhī dūsre kā dil dukhātā hai
koī jab koshisheñ kar ke bhī baazī haar jaatā hai
koī apnā kabhī jab dekh kar muñh moḌ letā hai
koī paudā binā paanī ke jab dam toḌ detā hai
koī kashtī kināre tak pahuñch kar jab ulaTtī hai
nazar jab umr ke baḌhne pe āhista se ghaTtī hai
patañge sham.a kī jab lau se apnī jaañ gañvāte haiñ
tapish se dhuup kī shādāb gul jab suukh jaate haiñ
koī jhoñkā havā kā jab charāġhoñ ko bujhātā hai
koī shīsha zarā sī Thes se jab TuuT jaatā hai
koī bhūlā huā ghar shaam ko vāpas na aa.e to
musāfir raah meñ jo ek bhī saaya na paa.e to
mujhe achchhā nahīñ lagtā
mujhe achchha nahin lagta
koi danista jab bhi dusre ka dil dukhata hai
koi jab koshishen kar ke bhi bazi haar jata hai
koi apna kabhi jab dekh kar munh moD leta hai
koi pauda bina pani ke jab dam toD deta hai
koi kashti kinare tak pahunch kar jab ulaTti hai
nazar jab umr ke baDhne pe aahista se ghaTti hai
patange shama ki jab lau se apni jaan ganwate hain
tapish se dhup ki shadab gul jab sukh jate hain
koi jhonka hawa ka jab charaghon ko bujhata hai
koi shisha zara si Thes se jab TuT jata hai
koi bhula hua ghar sham ko wapas na aae to
musafir rah mein jo ek bhi saya na pae to
mujhe achchha nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.