Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe ek din chahiye

Asghar Nadeem Syed

mujhe ek din chahiye

Asghar Nadeem Syed

MORE BYAsghar Nadeem Syed

    mujhe ek din chāhiye

    chāhe chhuTTī din ho

    apne irādoñ ke pul se guzarne

    seb khāne din ho

    mujhe ek din chāhiye

    chāhe sāhil pe kar nahāne din ho

    apnī pasandīda mausīqī sunñe din ho

    daraḳhtoñ meñ chhup kar kisī se lipaTne din ho

    phir koī din

    merī tāqat meñ Duubā huā

    mere ġhusse had se nikaltā huā

    aisā din

    jo khule āsmāñ tarah apnī bāñhoñ ko khole

    mujhe ek din chāhiye

    taaki maiñ apne pyāroñ ke dil meñ

    Tapakte hue āñsuoñ ko

    ḳhushī ke samundar meñ tabdīl kar duuñ

    mujhe ek din chāhiye

    mujhe ek din chahiye

    chahe chhuTTi ka din ho

    ya apne iradon ke pul se guzarne ka

    ya seb khane ka din ho

    mujhe ek din chahiye

    chahe sahil pe ja kar nahane ka din ho

    ya apni pasandida mausiqi sunne ka din ho

    daraKHton mein chhup kar kisi se lipaTne ka din ho

    ya phir koi din

    meri taqat mein Duba hua

    mere ghusse ki had se nikalta hua

    aisa din

    jo khule aasman ki tarah apni banhon ko khole

    mujhe ek din chahiye

    taki main apne pyaron ke dil mein

    Tapakte hue aansuon ko

    KHushi ke samundar mein tabdil kar dun

    mujhe ek din chahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now