aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe ek KHwab likhna hai

Naseer Ahmad Nasir

mujhe ek KHwab likhna hai

Naseer Ahmad Nasir

MORE BYNaseer Ahmad Nasir

    mujhe ik ḳhvāb likhnā hai

    kahīñ schōl se bhāge

    kisī bachche taḳhtī par

    mujhe ik chāñd likhnā hai

    savād-e-shām se gahrī

    siyah aurat ke māthe par

    mujhe ik giit likhnā hai

    ghane bāñsoñ ke jañgal meñ

    havā ke sard hoñToñ par

    mujhe ek naam likhnā hai

    purānī yād-gāroñ meñ

    kisī be-nām katbe par

    mujhe ek KHwab likhna hai

    kahin school se bhage

    kisi bachche ki taKHti par

    mujhe ek chand likhna hai

    sawad-e-sham se gahri

    siyah aurat ke mathe par

    mujhe ek git likhna hai

    ghane banson ke jangal mein

    hawa ke sard honTon par

    mujhe ek nam likhna hai

    purani yaad-garon mein

    kisi be-nam katbe par

    Source:

    Pani mein gum khawab (Pg. 37)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now