Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe mat batana

Parveen Shakir

mujhe mat batana

Parveen Shakir

MORE BYParveen Shakir

    mujhe mat batānā

    ki tum ne mujhe chhoḌne irāda kiyā thā

    to kyuuñ

    aur kis vaj.h se

    abhī to tumhāre bichhaḌne dukh bhī nahīñ kam huā

    abhī to maiñ

    bātoñ ke va.adoñ ke shahr-e-tilismāt meñ

    aañkh par ḳhush-gumānī paTTī liye

    tum ko peḌoñ ke pīchhe daraḳhtoñ ke jhunD

    aur dīvār pusht par DhūñDne meñ magan huuñ

    kahīñ par tumhārī sadā aur kahīñ par tumhārī mahak

    mujh pe hañsne meñ masrūf hai

    abhī tak tumhārī hañsī se nabard-āzmā huuñ

    aur is jañg meñ

    merā hathiyār

    apnī vafā par bharosa hai aur kuchh nahīñ

    use kund karne koshish na karnā

    mujhe mat batānā.....

    mujhe mat batana

    ki tum ne mujhe chhoDne ka irada kiya tha

    to kyun

    aur kis wajh se

    abhi to tumhaare bichhaDne ka dukh bhi nahin kam hua

    abhi to main

    baaton ke wadon ke shahr-e-tilismat mein

    aankh par KHush-gumani ki paTTi liye

    tum ko peDon ke pichhe daraKHton ke jhunD

    aur diwar ki pusht par DhunDne mein magan hun

    kahin par tumhaari sada aur kahin par tumhaari mahak

    mujh pe hansne mein masruf hai

    abhi tak tumhaari hansi se nabard-azma hun

    aur is jang mein

    mera hathiyar

    apni wafa par bharosa hai aur kuchh nahin

    use kund karne ki koshish na karna

    mujhe mat batana

    Source:

    kulliyaat-e-maahe tamaam (khud kalaamii) (Pg. 123)

    • Author: Parviin saakir
      • Edition: 2008
      • Publisher: Educational publishing house
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now