Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe sirf ek din chahiye

Javed Shaheen

mujhe sirf ek din chahiye

Javed Shaheen

MORE BYJaved Shaheen

    saal ke itne saare dinoñ meñ

    mujhe sirf ek din chāhiye

    tumhāre saath basar karne ke liye

    maiñ chāhtā huuñ

    vo din behad shaffāf ho

    tumhārī āñkhoñ tarah

    behad raushan ho

    tumhāre chehre jaisā

    aur itnā garm

    jis qadar tumhārā badan

    us din shafaq

    tumhāre hoñToñ se miltī ho

    us din havā meñ aisī ḳhushbū ho

    jo tumhārī sāñsoñ mahak yaad dilā.e

    us din shaam siyāhī

    tumhārī palkoñ jaisī ho

    aur raat

    tumhāre bāloñ se niklī ho

    is qadar saaf din

    mujhe saarā saal nahīñ miltā

    aur tumhāre saath ek din basar karne

    merī ḳhvāhish puurī nahīñ hotī

    sal ke itne sare dinon mein

    mujhe sirf ek din chahiye

    tumhaare sath basar karne ke liye

    main chahta hun

    wo din behad shaffaf ho

    tumhaari aankhon ki tarah

    behad raushan ho

    tumhaare chehre jaisa

    aur itna garm

    jis qadar tumhaara badan

    us din ki shafaq

    tumhaare honTon se milti ho

    us din ki hawa mein aisi KHushbu ho

    jo tumhaari sanson ki mahak yaad dilae

    us din ki sham ki siyahi

    tumhaari palkon jaisi ho

    aur raat

    tumhaare baalon se nikli ho

    is qadar saf din

    mujhe sara sal nahin milta

    aur tumhaare sath ek din basar karne ki

    meri KHwahish puri nahin hoti

    Source:

    Ishq e Tamam (Pg. 571)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now