Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe us shahr ko jaana hai

Ziyaul Hasan

mujhe us shahr ko jaana hai

Ziyaul Hasan

MORE BYZiyaul Hasan

    maiñ jab us shahr qasd kartā huuñ

    tumhārī āñkheñ merā rasta rok letī haiñ

    tum jāntī ho

    merā vahāñ jaanā zarūrī hai

    vahāñ mere log haiñ

    jin se merā mukālima

    ka.ī sadiyoñ se band hai

    mujhe us shahr ko jaanā hai

    magar is shahr ke baaġh aur parinde

    mere paañv pakaḌ lete haiñ

    ḳhush-andām do-shīzāoñ ke sīnoñ ke gulāb

    merī be-tābiyoñ ke liye

    ḳhud ko kar dete haiñ

    mujhe us shahr ko jaanā hai

    magar is shahr ke sab se baḌe tājir ne

    merī ārzūeñ mere ḳhvāb

    merā saarā asbāb-e-safar ḳharīd liyā hai

    main jab us shahr ka qasd karta hun

    tumhaari aankhen mera rasta rok leti hain

    tum jaanti ho

    mera wahan jaana zaruri hai

    wahan mere log hain

    jin se mera mukalima

    kai sadiyon se band hai

    mujhe us shahr ko jaana hai

    magar is shahr ke bagh aur parinde

    mere panw pakaD lete hain

    KHush-andam do-shizaon ke sinon ke gulab

    meri be-tabiyon ke liye

    KHud ko wa kar dete hain

    mujhe us shahr ko jaana hai

    magar is shahr ke sab se baDe tajir ne

    meri aarzuen mere KHwab

    mera sara asbab-e-safar KHarid liya hai

    Source:

    Aadhi Bhook Aur Poori Gaaliyan (Pg. 75)

    • Author: Ziyaul Hasan
      • Publisher: Multi Media Affairs, Lahore
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now