Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe wapas kar de

Anwar Abbas

mujhe wapas kar de

Anwar Abbas

MORE BYAnwar Abbas

    dil-e-pur-shauq daulat mujhe vāpas kar de

    merī pahlī tabī.at mujhe vāpas kar de

    vo tamannā.eñ vo ḳhvāhish vo taḌap vo armāñ

    vo tasavvur ke khilaune vo ḳhayālāt ke khel

    vo bilā-vaj.h laḌā.ī vo bilā-vaj.h mel

    ḳhvāb-ālud saveroñ vo bedār shabeñ

    jin meñ añgḌā.iyāñ kuchh tohmat-o-dushnām thiiñ

    jo bahut qīmtī thiiñ aur baḌe kaam thiiñ

    vo laḌakpan zamāna vo salone shab-o-roz

    vo umangeñ vo tarangeñ vo tajassus vo ḳharosh

    vo baḌī shoḳh javānī baḌā ma.asūm josh

    vo lipaTne ke bahāne vo chhiTakne ke javāz

    vo na samjhī huī bātoñ surāġh aur vo raaz

    vo jhijaktī huī sāñsoñ sharārat bharā saaz

    phir mujhe chāhiye vāpas ba-sad-andāz-o-niyāz

    ai sanam-ḳhāna-e-māzī ke but-e-pur-e.ajāz

    mire lahje luknat mujhe vāpas kar de

    mirā sīġha-e-ulfat mujhe vāpas kar de

    mirī avvalīñ chāhat mujhe vāpas kar de

    mirī saarī mohabbat mujhe vāpas kar de

    dil-e-pur-shauq ki daulat mujhe wapas kar de

    meri pahli si tabiat mujhe wapas kar de

    wo tamannaen wo KHwahish wo taDap wo arman

    wo tasawwur ke khilaune wo KHayalat ke khel

    wo bila-wajh laDai wo bila-wajh ka mel

    KHwab-alud saweron ki wo bedar shaben

    jin mein angDaiyan kuchh tohmat-o-dushnam ki thin

    jo bahut qimti thin aur baDe kaam ki thin

    wo laDakpan ka zamana wo salone shab-o-roz

    wo umangen wo tarangen wo tajassus wo KHarosh

    wo baDi shoKH jawani baDa masum sa josh

    wo lipaTne ke bahane wo chhiTakne ke jawaz

    wo na samjhi hui baaton ka suragh aur wo raaz

    wo jhijakti hui sanson ka shararat bhara saz

    phir mujhe chahiye wapas ba-sad-andaz-o-niyaz

    ai sanam-KHana-e-mazi ke but-e-pur-eajaz

    la mere lahje ki luknat mujhe wapas kar de

    la mera sigha-e-ulfat mujhe wapas kar de

    la meri awwalin chahat mujhe wapas kar de

    la meri sari mohabbat mujhe wapas kar de

    Source:

    Nazm-o-Razm (Pg. 96)

    • Author: Anwar Abbas
      • Publisher: Anjuman Fikr-o-Nazar, Allahabad
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now