Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe wo nazm likhni hai

Salam Machhli shahri

mujhe wo nazm likhni hai

Salam Machhli shahri

MORE BYSalam Machhli shahri

    mujhe vo nazm likhnī hai

    ki har andāz-e-mausīqī se dohrāyā karūñ jis ko

    magar uktā na jā.ūñ baar baar apne gaane se

    yuuñ bas zindagī ke saaz par gaayā karūñ jis ko

    magar ghabrā na jā.ūñ zindagānī ke fasāne se

    mujhe vo nazm likhnī hai

    ki jis meñ zohra-o-nāhīd sab raqsāñ to hoñ lekin

    kabhī mazdūr ke andoh-gīñ ruḳhsār bhī dekhūñ

    hazāroñ raqs-hā-e-dil-nashīñ pinhāñ to hoñ lekin

    kabhī talvār haibat-fazā jhankār bhī dekhūñ

    mujhe vo nazm likhnī hai

    ki jis ko maut āvāz se nafrat to ho lekin

    payām-e-zindagī kuchh hausla-sāmāñ bhī hotā ho

    bahār-e-zindagī ġhairat-dah-e-jannat to ho lekin

    ġharīb insān is jannat se kuchh shādāñ bhī hotā ho

    mujhe vo nazm likhnī hai

    mujhe wo nazm likhni hai

    ki har andaz-e-mausiqi se dohraya karun jis ko

    magar ukta na jaun bar bar apne hi gane se

    yun hi bas zindagi ke saz par gaya karun jis ko

    magar ghabra na jaun zindagani ke fasane se

    mujhe wo nazm likhni hai

    ki jis mein zohra-o-nahid sab raqsan to hon lekin

    kabhi mazdur ke andoh-gin ruKHsar bhi dekhun

    hazaron raqs-ha-e-dil-nashin pinhan to hon lekin

    kabhi talwar ki haibat-faza jhankar bhi dekhun

    mujhe wo nazm likhni hai

    ki jis ko maut ki aawaz se nafrat to ho lekin

    payam-e-zindagi kuchh hausla-saman bhi hota ho

    bahaar-e-zindagi ghairat-dah-e-jannat to ho lekin

    gharib insan is jannat se kuchh shadan bhi hota ho

    mujhe wo nazm likhni hai

    Source:

    Intikhab-e-Kalam Salam Machhli Shahri (Pg. 39)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now