Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

munazzam manazir se aage

Shahryar

munazzam manazir se aage

Shahryar

MORE BYShahryar

    Interesting Fact

    (Saughat, Banglore)

    bahār aur ḳhizāñ maut aur zindagī ke munazzam manāzir se aage bhī

    kuchh aise manzar haiñ

    āñkhoñ jin tak rasā.ī nahīñ hai

    shajar jis saarī jaḌeñ āsmānoñ meñ phailī haiñ

    aur Tahniyāñ khurdurī saḳht laavā ugaltī zamīñ

    ke badan meñ musalsal utartī chalī rahī haiñ

    havā ke samundar meñ be-bādbāñ kashtiyoñ par darinde

    lahū-rang ḳhushbū dīvār gahrā saaya

    harī surḳh niilī siyah raushnī

    raushnī lakīreñ

    lakīroñ āvāz

    āvāz dā.era

    dā.ere aur nuqte meñ baḌhtā huā fāsla

    fāsla aur safar

    bahār aur ḳhizāñ maut aur zindagī ke munazzam manāzir se aage bhī

    kuchh aise manzar haiñ āñkhoñ jin tak rasā.ī nahīñ hai

    bahaar aur KHizan maut aur zindagi ke munazzam manazir se aage bhi

    kuchh aise manzar hain

    aankhon ki jin tak rasai nahin hai

    shajar jis ki sari jaDen aasmanon mein phaili hain

    aur Tahniyan khurduri saKHt lawa ugalti zamin

    ke badan mein musalsal utarti chali ja rahi hain

    hawa ke samundar mein be-baadban kashtiyon par darinde

    lahu-rang KHushbu ki diwar ka gahra saya

    hari surKH nili siyah raushni

    raushni ki lakiren

    lakiron ki aawaz

    aawaz ka daera

    daere aur nuqte mein baDhta hua fasla

    fasla aur safar

    bahaar aur KHizan maut aur zindagi ke munazzam manazir se aage bhi

    kuchh aise manzar hain aankhon ki jin tak rasai nahin hai

    Source:

    1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 31)

    • Author: Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
      • Edition: 1972
      • Publisher: P.K. Publishers, New Delhi
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now