aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

munjamid aankhen

Mahmood Ayaz

munjamid aankhen

Mahmood Ayaz

MORE BYMahmood Ayaz

    khulī āñkhoñ ko koī band kar do

    khulī āñkhoñ vīrānī se haul aatā hai

    koī in khulī āñkhoñ ko baḌh kar band kar do

    ye āñkheñ ik anokhī yaḳh-zada duniyā

    sākit raushnī meñ kho ga.ī haiñ

    ab in āñkhoñ meñ

    koī rañg paidā hai na koī rañg pinhāñ hai

    na koī aks-e-gul-ban hai

    na koī dāġh-e-hirmāñ hai

    na ganj-e-shā.egāñ ārzu-e-be-nihāyat hai

    na ranj-e-rā.egāñ aks-e-larzāñ hai

    agar kuchh hai to bas

    ik yaḳh-zada nayā naqsh-e-jāvedāñ hai

    ye āñkheñ

    ab shuā-e-ārzū har kiran se yuuñ gurezāñ haiñ

    ki patthar ban ga.ī haiñ

    ye āñkheñ mar ga.ī haiñ

    khuli aankhon ko koi band kar do

    khuli aankhon ki virani se haul aata hai

    koi in khuli aankhon ko baDh kar band kar do

    ye aankhen ek anokhi yaKH-zada duniya ki

    sakit raushni mein kho gai hain

    ab in aankhon mein

    koi rang paida hai na koi rang pinhan hai

    na koi aks-e-gul-ban hai

    na koi dagh-e-hirman hai

    na ganj-e-shaegan ki aarzu-e-be-nihayat hai

    na ranj-e-raegan ka aks-e-larzan hai

    agar kuchh hai to bas

    ek yaKH-zada naya ka naqsh-e-jawedan hai

    ye aankhen

    ab shua-e-arzu ki har kiran se yun gurezan hain

    ki patthar ban gai hain

    ye aankhen mar gai hain

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    munjamid aankhen Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now