Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

munne ki naw

MORE BYAteeya Parveen Bilgirami

    daadī ke paas aa ke munne lagā ye kahne

    dekho to pyārī daadī kyā hai banāyā maiñ ne

    kāġhaz vo reshmīñ jo tum ne diyā thā daadī

    ye dekho maiñ is ik naav hai banā

    lekin batāo mujh ko kaise ise chalā.ūñ

    tālāb nadī naala kahāñ se lā.ūñ

    hañs kar ye bolīñ daadī Thahro zarā beTā

    laao kitchen se kar tasla jo hai baḌā

    tasle meñ bhar ke paanī munne se bolīñ daadī

    lo dekh lo ghar meñ maiñ ne nadī banā

    chhoTī is nadī meñ naav jo chal rahī thī

    munne bhī hañs rahā thā munnī bhī hañs rahī thī

    daadī bhī thiiñ bahut ḳhush bachchoñ is ḳhushī se

    detī thiiñ vo duā.eñ bachchoñ ko jān-o-jī se

    dadi ke pas aa ke munne laga ye kahne

    dekho to pyari dadi kya hai banaya main ne

    kaghaz wo reshmin jo tum ne diya tha dadi

    ye dekho main is ki ek naw hai bana di

    lekin batao mujh ko kaise ise chalaun

    talab ya nadi ya nala kahan se laun

    hans kar ye bolin dadi Thahro zara sa beTa

    lao kitchen se ja kar tasla jo hai baDa sa

    tasle mein bhar ke pani munne se bolin dadi

    lo dekh lo ghar mein main ne nadi bana di

    chhoTi si is nadi mein naw jo chal rahi thi

    munne bhi hans raha tha munni bhi hans rahi thi

    dadi bhi thin bahut KHush bachchon ki is KHushi se

    deti thin wo duaen bachchon ko jaan-o-ji se

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now