munni ki baaten
Interesting Fact
(With apologies to the soul of Iqbal)
banā ke muñh tū mire sāmne khaḌī kyā hai
mujhe batā tū kisī se abhī laḌī kyā hai
samajh rahā huuñ chalī aa.ī hai jagāne mujhe
zarā sā aur Thahar jaatī haḌbaḌī kyā hai
abhī na puurī huī niiñd das baje kaise
hamesha tez jo chaltī rahe ghaḌī kyā hai
ghaḌī ko doctor sāhab ke paas le jaao
unheñ dikhāo ise is meñ gaḌ-baḌī kyā hai
abhī class nayā hai na.ī kitābeñ haiñ
paḌheñ abhī se bhalā fikr hī paḌī kyā hai
paḌhāne ā.eñge hindī hamāre panDit jī
magar batā.eñge english meñ gaḌ-baḌī kyā hai
mujhe shurūa se aadat hai bed khāne kī
'shamīm'-hāshmī sāhab kī ye chhaḌī kyā hai
bana ke munh tu mere samne khaDi kya hai
mujhe bata tu kisi se abhi laDi kya hai
samajh raha hun chali aai hai jagane mujhe
zara sa aur Thahar jati haDbaDi kya hai
abhi na puri hui nind das baje kaise
hamesha tez jo chalti rahe ghaDi kya hai
ghaDi ko doctor sahab ke pas le jao
unhen dikhao ise is mein gaD-baDi kya hai
abhi class naya hai nai kitaben hain
paDhen abhi se bhala fikr hi paDi kya hai
paDhane aaenge hindi hamare panDit ji
magar bataenge english mein gaD-baDi kya hai
mujhe shurua se aadat hai bed khane ki
'shamim'-hashmi sahab ki ye chhaDi kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.