Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muntaKHab-e-rozgar abulkalam-azad

Saeed Arifi

muntaKHab-e-rozgar abulkalam-azad

Saeed Arifi

MORE BYSaeed Arifi

    qadam qadam pe aqīdat se sar hai ḳham merā

    chalā hai sū-e-rah-e-mo'atabar qalam merā

    dil-o-dimāġh ko ūñchā banā diyā jis ne

    fuyūz-e-ilm se a.alā banā jis ne

    baḌe ḳhulūs se detā thā dars-e-insānī

    hue haiñ jis badaulat zamīr nūrānī

    vo jis ne rāh-e-mohabbat dikhā.ī thī ham ko

    vo jis ne rasm-e-uḳhuvvat sikhā.ī thī ham ko

    vo jis ne bartar-o-bālā ḳhayāl baḳhshā thā

    jo lā-zavāl hai aisā kamāl baḳhshā thā

    vo ek fikr jo bā-e'tibār kartī hai

    nazar meñ kābil-sad-iftiḳhār kartī hai

    vo jis ne ziist sajā.ī jalā.e dil ke charāġh

    usī ke soz ne baḳhshī hameñ matā-e-dimāġh

    usī ne tarz-e-takallum chāshnī hai

    usī ne ilm ḳhush-rañg zindagī hai

    usī ne harf-e-hidāyat se sarfarāz kiyā

    ḳhudā shukr hameñ āshnā-e-rāz kiyā

    guloñ se pyaar anādil se us yārāna

    sukūn-o-amn markaz thā us kāshāna

    matā-e-ilm luTātī rahī hai zaat us

    bahut darāz thī zulf-e-navāzishāt us

    ruḳh-e-hayāt ko baḳhshī hai ik jilā us ne

    shu.ūr zauq-e-nazar atā kiyā us ne

    sukūn dil ko mayassar thā us qurbat se

    ham ahl-e-hind azmat hai us nisbat se

    ufuq pe ubhrā jo vo al-hilāl sūrat

    javān ho ke rahī al-balāġh fitrat

    haiñ tazkire meñ kuchh aise nuqūsh-e-fikr-e-jamīl

    ġhubar-e-ḳhātir-o-ḳhutabāt sajeñ qindīl

    jo tarjumān se phailī kalām ḳhushbū

    sañvāre us ne pechīda aql ke gesū

    usī ne sāz-e-adab ko sadā-e-nau baḳhshī

    shikasta-dil ko anokhī adā-e-nau baḳhshī

    dayār-e-gul meñ vo aayā thā muskurātā huā

    har ek ḳhār-e-chaman ko gale lagātā huā

    guloñ rañg sabā shi.ār laayā thā

    vo ik bahār thā husn-e-bahār laayā thā

    na us bahār se ab tak bharā thā dil apnā

    ki chand lamhoñ ko us se lagā thā dil apnā

    qazā-e-husn chaman ko chaman se chhīn liyā

    shabāb jaise navelī dulhan se chhīn liyā

    bahār hai na vajūd-e-bahār baaqī hai

    diloñ meñ yād-e-numūd-e-bahār baaqī hai

    buzurg-o-muḳhlish-o-ālī-vaqār thā vo shaḳhs

    ki ek muntaḳhab-e-rozgār thā vo shaḳhs

    qadam qadam pe aqidat se sar hai KHam mera

    chala hai su-e-rah-e-mo'atabar qalam mera

    dil-o-dimagh ko uncha bana diya jis ne

    fuyuz-e-ilm se aala bana ya jis ne

    baDe KHulus se deta tha dars-e-insani

    hue hain jis ki badaulat zamir nurani

    wo jis ne rah-e-mohabbat dikhai thi hum ko

    wo jis ne rasm-e-uKHuwwat sikhai thi hum ko

    wo jis ne bartar-o-baala KHayal baKHsha tha

    jo la-zawal hai aisa kamal baKHsha tha

    wo ek fikr jo ba-e'tibar karti hai

    nazar mein kabil-sad-iftiKHar karti hai

    wo jis ne zist sajai jalae dil ke charagh

    usi ke soz ne baKHshi hamein mata-e-dimagh

    usi ne tarz-e-takallum ki chashni di hai

    usi ne ilm ki KHush-rang zindagi di hai

    usi ne harf-e-hidayat se sarfaraaz kiya

    KHuda ka shukr hamein aashna-e-raaz kiya

    gulon se pyar anadil se us ka yarana

    sukun-o-amn ka markaz tha us ka kashana

    mata-e-ilm luTati rahi hai zat us ki

    bahut daraaz thi zulf-e-nawazishat us ki

    ruKH-e-hayat ko baKHshi hai ek jila us ne

    shuur zauq-e-nazar ka ata kiya us ne

    sukun dil ko mayassar tha us ki qurbat se

    hum ahl-e-hind ki azmat hai us ki nisbat se

    ufuq pe ubhra jo wo al-hilal ki surat

    jawan ho ke rahi al-balagh ki fitrat

    hain tazkire mein kuchh aise nuqush-e-fikr-e-jamil

    ghubar-e-KHatir-o-KHutabaat ki sajen qindil

    jo tarjuman se phaili kalam ki KHushbu

    sanware us ne hi pechida aql ke gesu

    usi ne saz-e-adab ko sada-e-nau baKHshi

    shikasta-dil ko anokhi ada-e-nau baKHshi

    dayar-e-gul mein wo aaya tha muskuraata hua

    har ek KHar-e-chaman ko gale lagata hua

    gulon ka rang saba ka shiar laya tha

    wo ek bahaar tha husn-e-bahaar laya tha

    na us bahaar se ab tak bhara tha dil apna

    ki chand lamhon ko us se laga tha dil apna

    qaza-e-husn chaman ko chaman se chhin liya

    shabab jaise naweli dulhan se chhin liya

    bahaar hai na wajud-e-bahaar baqi hai

    dilon mein yaad-e-numud-e-bahaar baqi hai

    buzurg-o-muKHlish-o-ali-waqar tha wo shaKHs

    ki ek muntaKHab-e-rozgar tha wo shaKHs

    Source :
    • Book : Shahre be Chiragh Mein (Pg. 115)
    • Author : Saeed Arifi
    • Publication : Pahchan Publications (2000)
    • Edition : 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now