Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

murajat-e-ishq

Irfan Shahood

murajat-e-ishq

Irfan Shahood

MORE BYIrfan Shahood

    eshiyā.ī mohabbat meñ taaza shumāra nikaltā nahīñ

    des vāloñ ne aisī muravvat sikhā.ī ki tartīb se jal rahe haiñ charāġh

    aur chaqmāq se raushnī nayā ik sharāra nikaltā nahīñ

    is aziyyat-bharī zindagī meñ ubūrī zamānat koī suhūlat nahīñ

    ābshāroñ ke jharne saroñ ko jhukā.e hue gir rahe haiñ

    zamīñ apnī gardish ke tābūt meñ qaid hai

    aur tābūt meñ hai merī zindagī

    jān-e-jānāñ suno

    bhaag kar aa gayā huuñ sar-e-shām dariyā kināre gumāñ meñ hai terā dvāra

    zamāne meñ aise to mumkin nahīñ hai ki mandir meñ sar ko jhukā.e rahe har pujārī

    ki girjoñ chhatoñ pe laTkī rahīñ be-sadā ghanTiyāñ

    peT bharne ke jitne tarīqe sahī chhoḌ saktā huuñ maiñ

    tāqchoñ darāḌoñ se aatī huī raushnī chhoḌ saktā nahīñ

    jān-e-jānāñ suno

    ye haḌappa paanī darāviḌ ke bahte hue pāniyoñ se milā chāhtā hai

    eshiyai mohabbat mein taza shumara nikalta nahin

    des walon ne aisi murawwat sikhai ki tartib se jal rahe hain charagh

    aur chaqmaq se raushni ka naya ek sharara nikalta nahin

    is aziyyat-bhari zindagi mein uburi zamanat ki koi suhulat nahin

    aabshaaron ke jharne saron ko jhukae hue gir rahe hain

    zamin apni gardish ke tabut mein qaid hai

    aur tabut mein hai meri zindagi

    jaan-e-jaanan suno

    bhag kar aa gaya hun sar-e-sham dariya kinare guman mein hai tera dwara

    zamane mein aise to mumkin nahin hai ki mandir mein sar ko jhukae rahe har pujari

    ki girjon ki chhaton pe laTki rahin be-sada ghanTiyan

    peT bharne ke jitne tariqe sahi chhoD sakta hun main

    taqchon ki daraDon se aati hui raushni chhoD sakta nahin

    jaan-e-jaanan suno

    ye haDappa ka pani darawiD ke bahte hue paniyon se mila chahta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now