Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

murda-KHana

Mohammad Haneef Rame

murda-KHana

Mohammad Haneef Rame

MORE BYMohammad Haneef Rame

    duniyā īlā-billā Thasī paḌī hai mujh meñ

    haañ kuchh kaam chīzeñ bhī haiñ is kabāḌ-ḳhāne meñ

    ilhāmī kitāboñ se le kar falsafa-e-adab aur shā.irī tak

    libraryāñ bharī paḌī haiñ dimāġh meñ

    āñkhoñ meñ utar kar dekheñ to husn-e-do-ālam pā.eñge jalva-afroz

    puure puure nigār-ḳhāne mere bhī sanam-ḳhāne tere bhī sanam-ḳhāne

    kānoñ meñ baiThuoñ se le kar kop-land samfaniyāñ

    aur tansen bandishoñ se raushan-ārā begam gā.ikī tak mahfūz hai aaj bhī

    lekin gañd to machā rakkhā hai mere jism ne

    aur is ke andar dhaḌakte dil ne

    gandagī Dipo hai merā ye jism

    balki kārḳhāna hai gandagī

    achchhī se achchhī chiiz Dāleñ aap is meñ

    bol-o-barāz banā kar rakh detā hai use

    Daal kar dekheñ haañ haañ ye phal Dāleñ ye miThā.ī

    ye tikke aur kabāb Dāleñ is meñ

    aur phir naak par rūmāl rakh kar dekheñ ki bantā kyā hai in

    ḳhair jahāñ kār-ḳhāne huuñ vahāñ gandagī to hotī hai lāziman

    gandagī na ho to ālūdgī sahī

    īd-e-qurbān par shahr chakkar to lagyā hogā aap ne

    azīz-o-aqārib se milne ke liye

    jo kuchh saḌkoñ aur galiyoñ meñ nazar aatā hai ojhaḌiyoñ aur āñtoñ se ubaltā huā

    vahī kuchh hai mere andar bhī

    ye to merī khaal kamāl hai jo aap ne paas biThā rakkhā hai mujhe

    aur agar aap meñ jhāñkne himmat ho mere dil meñ

    to shāyad abhī uThā deñ apne paas se mujhe

    karda gunāhoñ nahīñ nā-karda gunāhoñ baat kar rahā huuñ maiñ

    ḳhvāhishoñ aur hasratoñ ke janāze paḌe haiñ

    mere dil meñ qatār-andar-qatār

    maiñ ne tashbīh thī kabāḌ-ḳhāne se apne aap ko

    asal meñ to ek bahut baḌā murda-ḳhāna huuñ maiñ

    fasādāt meñ qatl-e-ām dekhā ho shāyad aap ne

    zalzale meñ maare jaane vāloñ lāsheñ nikālte to dekhā hogā logoñ ko

    phir television par bosina aur kosvo meñ ijtimā.ī qabroñ khudā.ī ke manāzir

    jab lavāhiqīn koshish kar rahe hote haiñ lāshoñ ko pahchānñe

    aur naak phaT rahe hote haiñ un ke saḌāñd se

    jald-az-jald dobāra dafnā jaatī haiñ ye lāsheñ

    lekin mere dil meñ ḳhvāhishoñ aur hasratoñ lāsheñ gal-saḌ ga.ī haiñ paḌe paḌe

    aur maiñ phir bhī dafan nahīñ kartā unheñ

    dafn karnā chāhtā nahīñ

    aur chāhūñ bhī to kahāñ karūñ dafn unheñ

    dimāġh meñ

    dimāġh meñ kulbulātā hāfiza kahāñ mohlat detā hai us

    dil to hai jis meñ dafnā saktā huuñ unheñ

    inhī murda ḳhvāhishoñ aur hasratoñ ko dekh dekh kar to jiitā huuñ maiñ

    ye to dafan hoñgī mere saath

    aur ab samajh meñ aatā hai ki kyuuñ banā.ī jaatī haiñ baḌī baḌī qabreñ

    bādshāh log to marne se pahle banvā liyā karte the apne maqbare aur ehrām

    mujhe ghin aatī thī baḌī baḌī qabroñ se

    maiñ kahā kartā thā dekho un māl-zādoñ ko

    zindagī meñ bhī ghere rakhte the zarūrat se ziyāda zamīn

    aur mar kar bhī itnī jagah gher lete haiñ ki ḳhudā zinda maḳhlūq ko mayassar nahīñ sar chhupāne ko

    mar kar bhī nahīñ miTtī zamīn hirs un

    magar ab sochtā huuñ shāyad unheñ vāqa.ī zarūrat ho baḌī qabroñ

    shāyad un ke andar paḌe huuñ mujh se bhī ziyāda janāze

    ḳhvāhishoñ aur hasratoñ ke

    shāyad un ojhaḌiyoñ aur āñtoñ meñ ġhalāzat ho mujh se bhī ziyāda

    vaise kahīñ maiñ bhī to javāz nahīñ DhūñDh rahā apne liye kushāda qabr

    duniya ki ila-billa Thasi paDi hai mujh mein

    han kuchh kaam ki chizen bhi hain is kabaD-KHane mein

    ilhami kitabon se le kar falsafa-e-adab aur shairi tak ki

    libraryan bhari paDi hain dimagh mein

    aankhon mein utar kar dekhen to husn-e-do-alam paenge jalwa-afroz

    pure pure nigar-KHane mere bhi sanam-KHane tere bhi sanam-KHane

    kanon mein baiThuon se le kar kop-land ki samfaniyan

    aur tansen ki bandishon se raushan-ara begam ki gaiki tak mahfuz hai aaj bhi

    lekin gand to macha rakkha hai mere jism ne

    aur is ke andar dhaDakte dil ne

    gandagi ka Dipo hai mera ye jism

    balki karKHana hai gandagi ka

    achchhi se achchhi chiz Dalen aap is mein

    bol-o-baraaz bana kar rakh deta hai use

    Dal kar dekhen han han ye phal Dalen ye miThai

    ye tikke aur kabab Dalen is mein

    aur phir nak par rumal rakh kar dekhen ki banta kya hai in ka

    KHair jahan kar-KHane hun wahan gandagi to hoti hai laziman

    gandagi na ho to aaludgi sahi

    id-e-qurban par shahr ka chakkar to lagya hi hoga aap ne

    aziz-o-aqarib se milne ke liye

    jo kuchh saDkon aur galiyon mein nazar aata hai ojhaDiyon aur aanton se ubalta hua

    wahi kuchh hai mere andar bhi

    ye to meri khaal ka kamal hai jo aap ne pas biTha rakkha hai mujhe

    aur agar aap mein jhankne ki himmat ho mere dil mein

    to shayad abhi uTha den apne pas se mujhe

    karda gunahon ki nahin na-karda gunahon ki baat kar raha hun main

    KHwahishon aur hasraton ke janaze paDe hain

    mere dil mein qatar-andar-qatar

    main ne tashbih di thi kabaD-KHane se apne aap ko

    asal mein to ek bahut baDa murda-KHana hun main

    fasadat mein qatl-e-am dekha ho shayad aap ne

    zalzale mein mare jaane walon ki lashen nikalte to dekha hoga logon ko

    ya phir telewision par bosina aur koswo mein ijtimai qabron ki khudai ke manazir

    jab lawahiqin koshish kar rahe hote hain lashon ko pahchanne ki

    aur nak phaT rahe hote hain un ke saDand se

    jald-az-jald dobara dafna di jati hain ye lashen

    lekin mere dil mein KHwahishon aur hasraton ki lashen gal-saD gai hain paDe paDe

    aur main phir bhi dafan nahin karta unhen

    dafn karna chahta hi nahin

    aur chahun bhi to kahan karun dafn unhen

    dimagh mein

    dimagh mein kulbulata hafiza kahan mohlat deta hai us ki

    dil hi to hai jis mein dafna sakta hun unhen

    inhi murda KHwahishon aur hasraton ko dekh dekh kar to jita hun main

    ye to dafan hongi mere sath hi

    aur ab samajh mein aata hai ki kyun banai jati hain baDi baDi qabren

    baadshah log to marne se pahle hi banwa liya karte the apne maqbare aur ehram

    mujhe ghin aati thi baDi baDi qabron se

    main kaha karta tha dekho un mal-zadon ko

    zindagi mein bhi ghere rakhte the zarurat se ziyaada zamin

    aur mar kar bhi itni jagah gher lete hain ki KHuda ki zinda maKHluq ko mayassar nahin sar chhupane ko

    mar kar bhi nahin miTti zamin ki hirs un ki

    magar ab sochta hun shayad unhen waqai zarurat ho baDi qabron ki

    shayad un ke andar paDe hun mujh se bhi ziyaada janaze

    KHwahishon aur hasraton ke

    shayad un ki ojhaDiyon aur aanton mein ghalazat ho mujh se bhi ziyaada

    waise kahin main bhi to jawaz nahin DhunDh raha apne liye kushada qabr ka

    Source:

    din kaa phool (Pg. 110)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now