Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mushahida

Jameel Azimabadi

mushahida

Jameel Azimabadi

MORE BYJameel Azimabadi

    rū-e-mahtāb zau-fishānī liye

    sach parchhā.iyāñ raqs meñ haiñ magan

    soz-e-pinhāñ liye jān-e-uryāñ liye

    kahkashāñ kahkashāñ raushnī ke diye

    maujzan zau-fagan arsh se farsh tak

    azm haath meñ apne parcham liye

    chashm-e-bīnā agar hai to tum dekh lo

    kisī banda-e-haq se tum pūchh lo

    qalb-e-raushan agar hai to ai ham-nashīñ

    shab tārīkiyāñ zulf ke pech-o-ḳham

    tār-e-resham sūrat nikhar jā.eñge

    jitne nāsūr haiñ dil ke bhar jā.eñge

    jhuuT ḳhud aag meñ apnī jal jā.egā

    sūrat-e-ḳhāk har-sū bikhar jā.egā

    ru-e-mahtab ki zau-fishani liye

    sach ki parchhaiyan raqs mein hain magan

    soz-e-pinhan liye jaan-e-uryan liye

    kahkashan kahkashan raushni ke diye

    maujzan zau-fagan arsh se farsh tak

    azm ka hath mein apne parcham liye

    chashm-e-bina agar hai to tum dekh lo

    ya kisi banda-e-haq se tum puchh lo

    qalb-e-raushan agar hai to ai ham-nashin

    shab ki tarikiyan zulf ke pech-o-KHam

    tar-e-resham ki surat nikhar jaenge

    jitne nasur hain dil ke bhar jaenge

    jhuT KHud aag mein apni jal jaega

    surat-e-KHak har-su bikhar jaega

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now