Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mutriba

MORE BYAmeer Aurangabadi

    shab ḳhamoshiyoñ meñ soī huī hai duniyā

    chup-chāp haiñ sitāre ḳhāmosh āsmāñ hai

    lekin ai mutriba bedār hai abhī tak

    ik iztirāb-e-dariyā dil meñ tire nihāñ hai

    bastī se duur aa kar baiThī hai kyoñ lab-e-jū

    barbat liye baġhal meñ kuchh gungunā rahī thī

    naġhma-sarā.iyoñ pe āmāda thī tabī.at

    aahaT ko merī kar ḳhāmosh ho ga.ī hai

    aane se mere shāyad barham huī hai ḳhalvat

    maiñ bū-e-naġhma kar aayā thā ġham bhulāne

    muñh moḌ kar jahāñ se phirtā huuñ dasht-o-sahrā

    masrūf-e-justujū huuñ manzil se be-ḳhabar huuñ

    duniyā ke gulistāñ bhaTkā huā huuñ taa.ir

    jo shāḳh se na Tapkā vo ras bharā samar huuñ

    rañgīñ-navā.iyoñ se dil lagī bujhā de

    phir chheḌ apnā barbat phir hosh mere kho de

    naġhmoñ se tere gūñje saarī fazā-e-sahrā

    rūhul-qudus ke shahpar raag apnā bhuul jaa.eñ

    jannat ke tā.eroñ meñ ik hashr ho barpā

    tere suroñ ko sun kar tham jaa.eñ bahte dariyā

    har taan terī goyā hai ābshār-e-naġhma

    sehr-e-halāl hai ye hai tirā tarannum

    terī dabī sadā hai paḌ rahī hai shabnam

    terī dhuneñ nahīñ haiñ ġhunchoñ hai tabassum

    terī ḳhamoshiyāñ bhī kyā ras-bharī haiñ kaa.in

    gar chheḌ de ai jogan merā bhī do-tāra

    ho jaa.eñ zindagī ke naġhme hazār paidā

    Dhal jaa.e ruuh merī sarmast zamzamoñ meñ

    mausīqī-e-abad ke dil meñ hoñ taar paidā

    haañ chheḌ de do-tāra maiñ kab se muntazir huuñ

    shab ki KHamoshiyon mein soi hui hai duniya

    chup-chap hain sitare KHamosh aasman hai

    lekin ai mutriba tu bedar hai abhi tak

    ek iztirab-e-dariya dil mein tere nihan hai

    basti se dur aa kar baiThi hai kyon lab-e-ju

    barbat liye baghal mein kuchh gunguna rahi thi

    naghma-saraiyon pe aamada thi tabiat

    aahaT ko meri pa kar KHamosh ho gai hai

    aane se mere shayad barham hui hai KHalwat

    main bu-e-naghma pa kar aaya tha gham bhulane

    munh moD kar jahan se phirta hun dasht-o-sahra

    masruf-e-justuju hun manzil se be-KHabar hun

    duniya ke gulistan ka bhaTka hua hun tair

    jo shaKH se na Tapka wo ras bhara samar hun

    rangin-nawaiyon se dil ki lagi bujha de

    phir chheD apna barbat phir hosh mere kho de

    naghmon se tere gunje sari faza-e-sahra

    ruhul-qudus ke shahpar rag apna bhul jaen

    jannat ke taeron mein ek hashr sa ho barpa

    tere suron ko sun kar tham jaen bahte dariya

    har tan teri goya hai aabshaar-e-naghma

    sehr-e-halal hai ye ya hai tera tarannum

    teri dabi sada hai ya paD rahi hai shabnam

    teri dhunen nahin hain ghunchon ka hai tabassum

    teri KHamoshiyan bhi kya ras-bhari hain kain

    gar chheD de ai jogan mera bhi tu do-tara

    ho jaen zindagi ke naghme hazar paida

    Dhal jae ruh meri sarmast zamzamon mein

    mausiqi-e-abad ke dil mein hon tar paida

    han chheD de do-tara main kab se muntazir hun

    Source:

    Man ki Bansuri (Pg. 39)

    • Author: Ameer Aurangabadi
      • Publisher: Matba Ahad Aafrin, Deccan
      • Year of Publication: 1930
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now