Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

murti-car

Priya Shandilya

murti-car

Priya Shandilya

MORE BYPriya Shandilya

    us hathelī miTTī se lipTī huī thī

    chehre pe us ke kisī baat jaldī thī

    sūraj ab apne ast par thā

    aur lauT rahe the ghar ko parinde

    kal gharoñ meñ manegā tyauhār hai

    logoñ ke āñgan virājeñgī ye mūrtiyāñ

    logoñ ke liye ye bhagvān hai

    aur mere haath meñ hoñgī kuchh ashrafiyāñ

    yahī soch kar maiñ der tak baiThā huuñ

    ki koī ḳharīdār to bachā hogā

    jo le jaa.e ye miTTī mūrat

    aur merī jeb meñ do rūpaya to hogā

    phir maiñ bhī ek mūrtī ḳharīd luuñ

    aur bachchoñ ko kahūñ ki vo thaal sajā.e

    le jā.ūñgā phuul aur thoḌī miThā.ī

    bhagvān se kahūñ ki de de thoḌī kamā.ī

    roz kitnī der tak karūñ meñ yuuñ intizār

    añdhere meñ miTTī ke diye jalāne tak tel nahīñ hai

    phir din raat kyuuñ banā.ūñ maiñ terī mūrat

    jab mere hālatoñ koī saver nahīñ hai

    he īshvar tere chaukhaT par to sabhī barābar haiñ

    mandir meñ baiThā isī mūrtī-car ke ghar se jaatā hai

    to kyā ḳhush honā merā adhikār nahīñ

    tujhe ākār denā merā punny nahīñ

    us ki hatheli miTTi se lipTi hui thi

    chehre pe us ke kisi baat ki jaldi thi

    suraj ab apne ast par tha

    aur lauT rahe the ghar ko parinde

    kal gharon mein manega tyauhaar hai

    logon ke aangan wirajengi ye murtiyan

    logon ke liye ye bhagwan hai

    aur mere hath mein hongi kuchh ashrafiyan

    yahi soch kar main der tak baiTha hun

    ki koi KHaridar to bacha hoga

    jo le jae ye miTTi ki murat

    aur meri jeb mein do rupaya to hoga

    phir main bhi ek murti KHarid lun

    aur bachchon ko kahun ki wo thaal sajae

    le jaunga phul aur thoDi miThai

    bhagwan se kahun ki de de thoDi si kamai

    roz kitni der tak karun mein yun intizar

    andhere mein miTTi ke diye jalane tak ka tel nahin hai

    phir din raat kyun banaun main teri murat

    jab mere haalaton ka koi sawer nahin hai

    he ishwar tere chaukhaT par to sabhi barabar hain

    mandir mein baiTha tu isi murti-car ke ghar se jata hai

    to kya KHush hona mera adhikar nahin

    ya tujhe aakar dena mera punny nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now