Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na-malum ka zarar

Sidra Afzal

na-malum ka zarar

Sidra Afzal

MORE BYSidra Afzal

    maiñ nahīñ jāntī

    ki mujhe kyā huā hai

    mujhe aisā kuchh bhī

    mere baare batāne se man.a kiyā gayā hai

    shāyad

    magar maiñ taklīf meñ huuñ

    ek anjānī taklīf

    nā-chāhe jaane taklīf

    maiñ kisī zindagī mehvar-o-markaz nahīñ kyuuñ

    shāyad ye kyuuñ aur is se pahle jumla faqat merā vahm ho

    yahī soch kar ḳhud ko tasallī denā bhī

    kis qadar achchhā lagtā hai

    mere ba.ad kitne log

    merī maut yaqīn na kar pā.eñge

    mere hote hue kitnoñ ko mere zinda hone yaqīn hai

    kyā ye yaqīn jhūTā nahīñ

    kyā har yaqīn jhūTā nahīñ

    nahīñ sab sach hai

    kabūtar tarah āñkheñ muuñd lene se kyā hogā

    udāsī aur us karb jaan levā hai

    zindagī har roz mujhe zalīl karne par tulī hai

    sisaknā bilaknā aur qahqahe lagānā merā vatīra ban gayā hai

    koī hai jo mujhe ḳhvāboñ se bedār na kare

    koī hai

    koī nahīñ

    maiñ ḳhud bhī nahīñ

    tumheñ patā hai tumhārī āñkheñ

    mere chehre par burī lagtī haiñ

    par maiñ unheñ lagā.e ghūmtī huuñ

    bhaddī lagne ke bāvajūd

    sirf is liye ki

    tumheñ mujh se shikāyat na ho

    ye kaisā zindāñ hai jahāñ āzādī āzādī hai aur koī rok Tok nahīñ

    sivā.e sochne ke

    kisī shai par pābandī nahīñ

    main nahin jaanti

    ki mujhe kya hua hai

    mujhe aisa kuchh bhi

    mere bare batane se mana kiya gaya hai

    shayad

    magar main taklif mein hun

    ek anjaani taklif

    na-chahe jaane ki taklif

    main kisi ki zindagi ka mehwar-o-markaz nahin kyun

    shayad ye kyun aur is se pahle ka jumla faqat mera wahm ho

    yahi soch kar KHud ko tasalli dena bhi

    kis qadar achchha lagta hai

    mere baad kitne log

    meri maut ka yaqin na kar paenge

    mere hote hue kitnon ko mere zinda hone ka yaqin hai

    kya ye yaqin jhuTa nahin

    kya har yaqin jhuTa nahin

    nahin sab sach hai

    kabutar ki tarah aankhen mund lene se kya hoga

    udasi aur us ka karb jaan lewa hai

    zindagi har roz mujhe zalil karne par tuli hai

    sisakna bilakna aur qahqahe lagana mera watira ban gaya hai

    koi hai jo mujhe KHwabon se bedar na kare

    koi hai

    koi nahin

    main KHud bhi nahin

    tumhein pata hai tumhaari aankhen

    mere chehre par buri lagti hain

    par main unhen lagae ghumti hun

    bhaddi lagne ke bawajud

    sirf is liye ki

    tumhein mujh se shikayat na ho

    ye kaisa zindan hai jahan aazadi hi aazadi hai aur koi rok Tok nahin

    siwae sochne ke

    kisi shai par pabandi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now