na-rasai
chaudhvīñ raat ke chāñd aur zamīñ ke mābain
nā-rasā.ī kā jo dukh hai vo hamārā dukh hai
surma.ī hijr kī tā-hadd-e-nazar pahnā.ī
an-ginat tāroñ ke jhurmuT meñ chhupī tanhā.ī
chāñd ke dukh kā mudāvā nahīñ ye yaktā.ī
ruḳh-e-mahtāb ko chhūne kī lagan meñ be-tāb
kahkashāoñ kī urūsa ke machalte armān
sīna-e-bahr pe biphrī huī pāgal maujeñ
raat bhar shiddat-e-jazbāt se yuuñ uThtī haiñ
jis tarah pichhle pahar lams kī hasrat jaage
jaise rag rag meñ sulagtī huī tishna ḳhvāhish
jism ke saare masāmoñ meñ charāġhāñ kar de
haa.e is karb ke aalam meñ kahāñ mumkin hai
qabl-az-roz-e-jazā chāk-e-judā.ī silnā
āsmāñ-zād kā is ḳhāk-parī se milnā
quvvat-e-siql kī Doroñ se bañdhe ye ajrām
dā.eroñ meñ yuuñ muqayyad haiñ ki kuchh bhī kar leñ
ek duuje kī panāhoñ meñ nahīñ jā sakte
shāyad un nuur ke pāroñ kī tarah haiñ ham bhī
kab se mohtāt ḳhamoshī ke madāroñ meñ ravāñ
ik junūñ-ḳhez mohabbat kā safar karte haiñ
hijr meñ dil yuuñ sulagte haiñ ki jaañ jaatī hai
va.ada-e-qurb ḳhudā jaane vafā ho ki na ho
vasl kā soch ke hī jaan pe ban aatī hai
TuuT kar bikhre jo āġhāz-e-jahāñ meñ reze
sā.at-e-hashr ke aane pe hī yakjā hoñge
mehr-o-mah arz-o-samā ruuh badan bhī ya.anī
āḳhirash ek ikaa.ī meñ simaT jā.eñge
nā-rasā.ī ke azāboñ meñ yuuñ guzrī hai hayāt
jī meñ aatā hai ki ab koī qayāmat utre
toḌ kar apne madāroñ ko mulāqāteñ hoñ
mehrbāñ shāmeñ hoñ kuchh ḳhushbū bharī rāteñ hoñ
chaudhwin raat ke chand aur zamin ke mabain
na-rasai ka jo dukh hai wo hamara dukh hai
surmai hijr ki ta-hadd-e-nazar pahnai
an-ginat taron ke jhurmuT mein chhupi tanhai
chand ke dukh ka mudawa nahin ye yaktai
ruKH-e-mahtab ko chhune ki lagan mein be-tab
kahkashaon ki urusa ke machalte arman
sina-e-bahr pe biphri hui pagal maujen
raat bhar shiddat-e-jazbaat se yun uThti hain
jis tarah pichhle pahar lams ki hasrat jage
jaise rag rag mein sulagti hui tishna KHwahish
jism ke sare masamon mein charaghan kar de
hae is karb ke aalam mein kahan mumkin hai
qabl-az-roz-e-jaza chaak-e-judai silna
aasman-zad ka is KHak-pari se milna
quwwat-e-siql ki Doron se bandhe ye ajram
daeron mein yun muqayyad hain ki kuchh bhi kar len
ek duje ki panahon mein nahin ja sakte
shayad un nur ke paron ki tarah hain hum bhi
kab se mohtat KHamoshi ke madaron mein rawan
ek junun-KHez mohabbat ka safar karte hain
hijr mein dil yun sulagte hain ki jaan jati hai
wada-e-qurb KHuda jaane wafa ho ki na ho
wasl ka soch ke hi jaan pe ban aati hai
TuT kar bikhre jo aaghaz-e-jahan mein reze
saat-e-hashr ke aane pe hi yakja honge
mehr-o-mah arz-o-sama ruh badan bhi yani
aaKHirash ek ikai mein simaT jaenge
na-rasai ke azabon mein yun guzri hai hayat
ji mein aata hai ki ab koi qayamat utre
toD kar apne madaron ko mulaqaten hon
mehrban shamen hon kuchh KHushbu bhari raaten hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.