Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naraazgi

Nivesh Sahu

naraazgi

Nivesh Sahu

MORE BYNivesh Sahu

    merī jaañ tumhārī ye nārāzgī mere siine meñ chubhte hue kab mirī zindagī ko nigal jā.egī is koī bharosa nahīñ hai

    mire dostoñ nashisteñ to aisī kabhī bhī nahīñ thiiñ

    ki gar saath baiTheñ to daarū botal ke khulne naubat bhī ho

    ye ajab bhī nahīñ hai ki maiñ āj-kal mere marne jaldī meñ piine lagā huuñ

    ajab to ye hai merī kaTtī huī umr baaqī bachī umr fikr meñ kab guzarne lagī ye pata tab chalā jab tire faisle merī marzī se yaksar judā tai hue

    jab mire chāhne vaale kahne lage bas bahut ho chukā ye bachī rum hamāre liye aa.ī hai jaao kamre meñ jaao davā.ī piyo

    umr shāyad kisī zindagī se kisī maut tak bhayānak safar hai jo ek zamān-o-makāñ meñ Thahar kar kaT jā.egā

    is meñ apnī jagah mutma.in rah sako to ye rasta bhī pairoñ ke nīche se ḳhud sarak jā.egā

    umr shāyad koī jāgte haal āfrīñ ḳhvāb hai jis meñ rahte hue aañkh thak jā.egī aur phir bistar-e-marg par ke so jā.egī

    aañkh khul jā.egī maut ho jā.egī

    ab maiñ āḳhir jo marne sūrat pe huuñ

    to maiñ ye sochtā huuñ ki maiñ merī fitrat ko zinda rakhūñ

    ya.anī jaisā thā maiñ ab maiñ vaisā rahūñ

    terī nārāzgī bhī kabhī kam na ho

    umr jitnī bachī hai vo ghaTtī rahe

    merī kaTtī rahe

    meri jaan tumhaari ye naraazgi mere sine mein chubhte hue kab meri zindagi ko nigal jaegi is ka koi bharosa nahin hai

    mere doston ki nashisten to aisi kabhi bhi nahin thin

    ki gar sath baiThen to daru ki botal ke khulne ki naubat bhi ho

    ye ajab bhi nahin hai ki main aaj-kal mere marne ki jaldi mein pine laga hun

    ajab to ye hai meri kaTti hui umr baqi bachi umr ki fikr mein kab guzarne lagi ye pata tab chala jab tere faisle meri marzi se yaksar juda tai hue

    jab mere chahne wale kahne lage bas bahut ho chuka ye bachi rum hamare liye aai hai jao kamre mein jao dawai piyo

    umr shayad kisi zindagi se kisi maut tak ka bhayanak safar hai jo ek hi zaman-o-makan mein Thahar kar hi kaT jaega

    is mein apni jagah mutmain rah sako to ye rasta bhi pairon ke niche se KHud hi sarak jaega

    umr shayad koi jagte haal ka aafrin KHwab hai jis mein rahte hue aankh thak jaegi aur phir bistar-e-marg par ja ke so jaegi

    aankh khul jaegi maut ho jaegi

    ab main aaKHir jo marne ki surat pe hun

    to main ye sochta hun ki main meri fitrat ko zinda rakhun

    yani jaisa tha main ab main waisa rahun

    teri naraazgi bhi kabhi kam na ho

    umr jitni bachi hai wo ghaTti rahe

    meri kaTti rahe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now