Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nae leader ki dua

Raza Naqvi Vahi

nae leader ki dua

Raza Naqvi Vahi

MORE BYRaza Naqvi Vahi

    bhagvān mire dil ko vo zinda tamanna de

    jo hirs ko bhaḌkā de aur jeb ko garmā de

    vādī-e-siyāsat ke is zarre ko chamkā de

    is ḳhādim-e-adnā ko ik kursī-e-ālā de

    auroñ jo hissa hai mujh ko vahī daatā de

    mahrūm-e-batāshā huuñ puurī na halvā de

    haañ murġh-e-musallam de haañ garm parāThā de

    sūkhī huī āñtoñ ko fauran jo chiknā de

    tahrīr meñ chustī de taqrīr meñ garmī de

    jantā ko jo phailā.e aur qaum ko bahkā de

    kursī-e-vazārat par ik jast meñ chaḌh jā.ūñ

    tadbīr ko phurtī de taqdīr ko jhaTkā de

    sikhlā de mujhe daatā vo rāz-e-jahāñbānī

    qatre se jo dariyā de dariyā ko jo qatra de

    muflis lañgoTī tak bātoñ meñ utarvā luuñ

    ehsān ke parde meñ chorī salīqa de

    qātil tabī.at ko bismil adā sikhlā

    ḳhūñ-rezī ke jazbe ko hamdardī pardā de

    thoḌī jo ġhairat hai vo bhī na rahe baaqī

    ehsās-e-hamiyyat ko is dil se nikalvā de

    al-qissa mire mālik tujh se ye guzārish hai

    murġhī vo ināyat ho sone jo anDā de

    bhagwan mere dil ko wo zinda tamanna de

    jo hirs ko bhaDka de aur jeb ko garma de

    wadi-e-siyasat ke is zarre ko chamka de

    is KHadim-e-adna ko ek kursi-e-ala de

    auron ka jo hissa hai mujh ko wahi data de

    mahrum-e-batasha hun tu puri na halwa de

    han murgh-e-musallam de han garm paraTha de

    sukhi hui aanton ko fauran hi jo chikna de

    tahrir mein chusti de taqrir mein garmi de

    janta ko jo phailae aur qaum ko bahka de

    kursi-e-wazarat par ek jast mein chaDh jaun

    tadbir ko phurti de taqdir ko jhaTka de

    sikhla de mujhe data wo raaz-e-jahanbani

    qatre se jo dariya de dariya ko jo qatra de

    muflis ki langoTi tak baaton mein utarwa lun

    ehsan ke parde mein chori ka saliqa de

    qatil ki tabiat ko bismil ki ada sikhla

    KHun-rezi ke jazbe ko hamdardi ka parda de

    thoDi si jo ghairat hai wo bhi na rahe baqi

    ehsas-e-hamiyyat ko is dil se nikalwa de

    al-qissa mere malik tujh se ye guzarish hai

    murghi wo inayat ho sone ka jo anDa de

    Source:

    (Pg. 90)

    • Author: Raza Naqvi Vahi
      • Publisher: Naseem Book Depot, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now