aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nae sur ki tamsil

Akhtar Usman

nae sur ki tamsil

Akhtar Usman

MORE BYAkhtar Usman

    kāmanī ḳhvāb lau meñ hañstī huī kāmanī

    sola baras taqvīm meñ fasl-e-gul koī tazkira

    tak na thā

    maiñ ne battīs battīs jhaḌ ruteñ kaaT diiñ

    ab jo tamsīl ke ek vaqfe meñ tum se milā huuñ

    to sāñsoñ meñ nam chaal meñ un zamānoñ rum

    uThā hai

    jo ahd-e-zamistāñ meñ yaḳh the

    saqar saqar

    kāmanī ḳhanda-e-gul kul zindagī

    ek gulchīñ vahshat bharī aañkh hai

    ye chaTaknā ye khulnā

    bahut sehar-āvar sahī jāgne aur sone meñ ik

    ḳhvāb-e-mauhūm se kuchh ziyāda nahīñ

    ḳhvāb-o-ḳhvāhish ajab silsila hai

    bahut duur bahtī huī ābshāroñ ik silsila

    jis meñ koh-e-tazabzub ḳhushbū bhī hai

    ahd-o-paimāñ jaadū bhī

    ḳhuuñ se suroñ tak

    suroñ se us ik lafz tak

    jis meñ rāgoñ jauhar bañdhā hai

    kahīñ aimanī ras kahīñ mārvā ThāTh bhageshirī

    bhairvīñ aur pahāḌī

    vo sab kuchh jo apne lahū meñ dahaktā chahaktā hai

    jis ke tanāzur meñ ham bīst-o-shash-sāl

    pahle bañdhe the

    unhī ābshāroñ se mujh ko sadā aa rahī hai

    so maiñ rahā huuñ

    na.e sur uThāne

    ki sargam farsūdgī dīda-o-dil bujhāne lagī hai

    nayā sur jise lafz tartīb dete haiñ

    pahuñche to jaano ki sān.e.a ke lafzoñ se uThtī namī tum

    tak aa.ī

    pas umr hāsil fan jaise sarfa-e-jāñ

    kahīñ kuchh nahīñ

    bīsat-o-shash-sāl dar ḳhidmat fan basar karda am

    ba-chashm-e-nam aurāq-e-tar karda am

    dar faqīrī guzar karda am

    harf sar karda am

    ye jo lafzoñ paiġhambarī hai na hotī to ibrat

    sarā meñ bhalā kaun jiitā

    maiñ lafzoñ meñ suskārtā huuñ

    sunā tum ne sur

    naġhma-e-tāza ye kitne qarnoñ se dil meñ kisī

    sil sūrat jamā thā

    ye jū-e-ravāñ tum tak aa.ī magar kitne

    ḳhurshīd-o-mahtāb āhañg

    bante hue bujh ga.e

    kitne din gul hue

    kitnī rāteñ Dhalīñ

    ḳhair kaisā hisāb

    aise naġhmoñ meñ ḳhuuñ aur charāġhoñ ke roġhan ek

    pursa kise duuñ

    bhalā koī azā-dār hai

    pursa-dāroñ tamsīl meñ koī vaqfa nahīñ

    kaamani KHwab ki lau mein hansti hui kaamani

    sola baras ki taqwim mein fasl-e-gul ka koi tazkira

    tak na tha

    main ne battis battis jhaD ruten kaT din

    ab jo tamsil ke ek waqfe mein tum se mila hun

    to sanson mein nam chaal mein un zamanon ka rum

    ji uTha hai

    jo ahd-e-zamistan mein yaKH the

    saqar sa saqar

    kaamani KHanda-e-gul ki kul zindagi

    ek gulchin ki wahshat bhari aankh hai

    ye chaTakna ye khulna

    bahut sehar-awar sahi jagne aur sone mein ek

    KHwab-e-mauhum se kuchh ziyaada nahin

    KHwab-o-KHwahish ajab silsila hai

    bahut dur bahti hui aabshaaron ka ek silsila

    jis mein koh-e-tazabzub ki KHushbu bhi hai

    ahd-o-paiman ka jadu bhi

    KHun se suron tak

    suron se us ek lafz tak

    jis mein ragon ka jauhar bandha hai

    kahin aimani ras kahin marwa ThaTh bhageshiri

    bhairwin aur pahaDi

    wo sab kuchh jo apne lahu mein dahakta chahakta hai

    jis ke tanazur mein hum bist-o-shash-sal

    pahle bandhe the

    unhi aabshaaron se mujh ko sada aa rahi hai

    so main ja raha hun

    nae sur uThane

    ki sargam ki farsudgi dida-o-dil bujhane lagi hai

    naya sur jise lafz tartib dete hain

    pahunche to jaano ki sanea ke lafzon se uThti nami tum

    tak aai

    pas umr ka hasil fan jaise sarfa-e-jaan

    kahin kuchh nahin

    bisat-o-shash-sal dar KHidmat fan basar karda am

    ba-chashm-e-nam auraq-e-tar karda am

    dar faqiri guzar karda am

    harf sar karda am

    ye jo lafzon ki paighambari hai na hoti to ibrat

    sara mein bhala kaun jita

    main lafzon mein suskarta hun

    suna tum ne sur

    naghma-e-taza ka ye kitne qarnon se dil mein kisi

    sil ki surat jama tha

    ye ju-e-rawan tum tak aai magar kitne

    KHurshid-o-mahtab aahang

    bante hue bujh gae

    kitne din gul hue

    kitni raaten Dhalin

    KHair kaisa hisab

    aise naghmon mein KHun aur charaghon ke roghan ka ek

    pursa kise dun

    bhala koi aza-dar hai

    pursa-daron ki tamsil mein koi waqfa nahin

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Akhtar Usman

    Akhtar Usman

    Source:

    Sitarah Saaz (Pg. 57)

    • Author: Akhtar Usman
      • Edition: 2013
      • Publisher: Ahbaab Publications
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now