Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nai nasl ka aaKHri nauha

Kailash Mahir

nai nasl ka aaKHri nauha

Kailash Mahir

MORE BYKailash Mahir

    tulū-e-sub.h-e-fardā munādī bhī zarā sun lo

    ye atom jab phaTegā to qayāmat chār-sū hogī

    tabāhī kū-bakū hogī

    kabhī gulshan ke in nau-ḳhez ġhunchoñ taraf dekho

    ye lāġhar kalmūe nange nigoḌe naunihāloñ taraf dekho

    zarā socho

    ye gandī bastiyāñ hadd-e-gumāñ se bhī kahīñ aage na baḌh jaa.eñ

    ye aisā kārvāñ hai jo bahut baḌhtā jaatā hai

    zarā socho

    tumhārī khetiyāñ sonā ugaltī haiñ zamānoñ se

    mah-o-anjum ugā sakte ho is dhartī se tum lekin

    magar ab bhuuk ugtī hai

    abhī tum ḳhvāb ke parcham uḌāte ho

    ḳhudā rahmatoñ ke giit gaate ho

    navāzish jaan kar ḳhushiyāñ manāte ho

    kabhī tum an-ginat bhūkī nigāhoñ taraf dekho

    zarā socho

    hazāroñ haath ḳhālī haiñ hazāroñ hote jaate haiñ

    ye kaisī bhiiḌ hai jo kārvāñ-dar-kārvāñ kam nahīñ hotī

    na.e jismoñ ke pairāhan musalsal kaTte jaate haiñ

    zarā socho

    zamīñ vus.ateñ har daur meñ ghaTtī jaatī haiñ

    nagīne ḳhuun ke

    gāḌhe pasīne kamā.ī

    kahāñ tak munqasim hoñge

    qatāreñ baḌhtī jaatī haiñ

    zarā socho

    makāñ se lā-makāñ tak qahr-e-mustaqbil numāyāñ hai

    hujūm-e-be-karāñ ko dekh kar aalam pareshāñ hai

    tulūa-e-sub.h-e-fardā munādī bhī zarā san lo

    ye atom jab phaTegā to qayāmat chār-sū hogī

    tabāhī kū-bakū hogī

    zarā socho

    tulu-e-subh-e-farda ki munadi bhi zara sun lo

    ye atom jab phaTega to qayamat chaar-su hogi

    tabahi ku-baku hogi

    kabhi gulshan ke in nau-KHez ghunchon ki taraf dekho

    ye laghar kalmue nange nigoDe naunihaalon ki taraf dekho

    zara socho

    ye gandi bastiyan hadd-e-guman se bhi kahin aage na baDh jaen

    ye aisa karwan hai jo bahut baDhta hi jata hai

    zara socho

    tumhaari khetiyan sona ugalti hain zamanon se

    mah-o-anjum uga sakte ho is dharti se tum lekin

    magar ab bhuk ugti hai

    abhi tum KHwab ke parcham uDate ho

    KHuda ki rahmaton ke git gate ho

    nawazish jaan kar KHushiyan manate ho

    kabhi tum an-ginat bhuki nigahon ki taraf dekho

    zara socho

    hazaron hath KHali hain hazaron hote jate hain

    ye kaisi bhiD hai jo karwan-dar-karwan kam hi nahin hoti

    nae jismon ke pairahan musalsal kaTte jate hain

    zara socho

    zamin ki wusaten har daur mein ghaTti hi jati hain

    nagine KHun ke

    gaDhe pasine ki kamai

    kahan tak munqasim honge

    qataren baDhti jati hain

    zara socho

    makan se la-makan tak qahr-e-mustaqbil numayan hai

    hujum-e-be-karan ko dekh kar aalam pareshan hai

    tulua-e-subh-e-farda ki munadi bhi zara san lo

    ye atom jab phaTega to qayamat chaar-su hogi

    tabahi ku-baku hogi

    zara socho

    Source:

    Lamha Lamha Piyas (Pg. 35)

    • Author: Kailash Mahir
      • Publisher: Golden Publications, Delhi
      • Year of Publication: 1991
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now