Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nai nasl

Qazi Saleem

nai nasl

Qazi Saleem

MORE BYQazi Saleem

    umr us guphā meñ reñg aa.ī hai jahāñ

    koī ḳhaar koī kañkarī nahīñ

    soñdhī soñdhī giilī giilī baas hai

    ḳhudā narm narm chhāñv hai

    maut miThās hai

    ḳhudā narm narm chhāñv hai

    hazār baar laḌ chukā huuñ

    ek ek ḳhvāb ke liye

    hamāre darmiyāñ jañg ho chukī hai

    aaj jab mire liye

    sulh ghaḌī hai

    phir kashākash-e-hayāt

    nayā sabab khaḌā na kar

    merī aañkh dekhne har azaab sah chukī hai

    mujh ko mat dikhā

    mire chahete sāthiyoñ ke qāfile

    jo farāz-e-zindagī har samt rahe the

    sañg-bāriyoñ zad meñ haiñ

    mere kaan har sadā ke zaḳhm khā ke pak chuke haiñ

    mujh ko mat sunā

    mere ba.ad aane vāloñ ke dukhoñ dāstāñ mat sunā

    aaj jab mire liye

    sulh ghaḌī hai

    sab dukhoñ dhaar kund ho chukī hai

    saare saañp bichchhūoñ zahr mar chukā hai

    ḳhvāb-e-āfrīñ hai

    niiñd aa rahī hai mujh ko mat jagā

    mujh ko mat dikhā

    mujh ko mat sunā

    umr us gupha mein reng aai hai jahan

    koi KHar koi kankari nahin

    sondhi sondhi gili gili bas hai

    KHuda ki narm narm chhanw hai

    maut ki miThas hai

    KHuda ki narm narm chhanw hai

    hazar bar laD chuka hun

    ek ek KHwab ke liye

    hamare darmiyan jang ho chuki hai

    aaj jab mere liye

    sulh ki ghaDi hai

    phir kashakash-e-hayat ka

    naya sabab khaDa na kar

    meri aankh dekhne ka har azab sah chuki hai

    mujh ko mat dikha

    mere chahete sathiyon ke qafile

    jo faraaz-e-zindagi ki har samt ja rahe the

    sang-bariyon ki zad mein hain

    mere kan har sada ke zaKHm kha ke pak chuke hain

    mujh ko mat suna

    mere baad aane walon ke dukhon ki dastan mat suna

    aaj jab mere liye

    sulh ki ghaDi hai

    sab dukhon ki dhaar kund ho chuki hai

    sare sanp bichchhuon ka zahr mar chuka hai

    KHwab-e-afrin hai

    nind aa rahi hai mujh ko mat jaga

    mujh ko mat dikha

    mujh ko mat suna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now