Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nai subh

Kaifi Azmi

nai subh

Kaifi Azmi

MORE BYKaifi Azmi

    ye sehhat-baḳhsh taḌkā ye sahar jalva-sāmānī

    ufuq saarā banā jaatā hai dāmān-e-chaman jaise

    chhalaktī raushnī tārīkiyoñ pe chhā.ī jaatī hai

    uḌaa.e nāziyat laash par koī kafan jaise

    ubaltī surḳhiyoñ zad pe haiñ halqe siyāhī ke

    paḌī ho aag meñ bikhrī ġhulāmī rasan jaise

    shafaq chādareñ rañgīñ fazā meñ thartharātī haiñ

    uḌaa.e laal jhanDā ishtirākī anjuman jaise

    chalī aatī hai sharmā.ī lajā.ī hūr-e-bedārī

    bhare ghar meñ qadam tham tham ke rakhtī hai dulhan jaise

    fazā gūñjī huī hai sub.h ke taaza tarānoñ se

    surūd-e-fat.h par haiñ surḳh faujeñ naġhma-zan jaise

    havā narm lahreñ gudgudātī haiñ umañgoñ ko

    javāñ jazbāt se kartā ho chuhleñ bāñkpan jaise

    ye saada saada gardūñ pe tabassum-āfrīñ sūraj

    pai-dar-pai kāmyābī se ho stalin magan jaise

    sahar ke aa.ine meñ dekhtā huuñ husn-e-mustaqbil

    utar aa.ī hai chashm-e-shauq meñ 'kaifī' kiran jaise

    ye sehhat-baKHsh taDka ye sahar ki jalwa-samani

    ufuq sara bana jata hai daman-e-chaman jaise

    chhalakti raushni tarikiyon pe chhai jati hai

    uDae naziyat ki lash par koi kafan jaise

    ubalti surKHiyon ki zad pe hain halqe siyahi ke

    paDi ho aag mein bikhri ghulami ki rasan jaise

    shafaq ki chadaren rangin faza mein thartharaati hain

    uDae lal jhanDa ishtiraki anjuman jaise

    chali aati hai sharmai lajai hur-e-bedari

    bhare ghar mein qadam tham tham ke rakhti hai dulhan jaise

    faza gunji hui hai subh ke taza taranon se

    surud-e-fath par hain surKH faujen naghma-zan jaise

    hawa ki narm lahren gudgudati hain umangon ko

    jawan jazbaat se karta ho chuhlen bankpan jaise

    ye sada sada gardun pe tabassum-afrin suraj

    pai-dar-pai kaamyabi se ho stalin magan jaise

    sahar ke aaine mein dekhta hun husn-e-mustaqbil

    utar aai hai chashm-e-shauq mein 'kaifi' kiran jaise

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now