Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nairang-e-tasawwur

Takht Singh

nairang-e-tasawwur

Takht Singh

MORE BYTakht Singh

    sahar vaqt hai baiThā huuñ maiñ phūloñ mahfil meñ

    talātum ḳhez hai mauj-tarannum qulzum dil meñ

    jhalaktā hai kisī husn firdaus-e-nazar ban kar

    kisī ke ashk sabze par machalte haiñ guhar ban kar

    koī āvāz detā hai mujhe bulbul ke naġhmoñ meñ

    uḌātā hai koī merī hañsī chhup chhup ke phūloñ meñ

    kisī āh-e-sozāñ dhuāñ gardūñ pe raqsāñ hai

    kisī ḳhūn-e-dil rañg-e-shafaq meñ jalva-afshāñ hai

    ḳhamoshī ban ke sar-tā-pā koī baiThā hai sausan meñ

    suvaidā ban ke pinhāñ hai koī laale ke dāman meñ

    koī shāḳhoñ meñ chhup kar mere aage sar jhukātā hai

    mujhe apnī taraf shāyad ishāroñ se bulātā hai

    koī merī taraf nargis mast āñkhoñ se taktā hai

    maiñ kyā jānūñ vo in pardoñ meñ kyā kuchh dekh saktā hai

    koī zer-e-shajar sāyoñ pariyoñ ko nachātā hai

    huā hai koī dhīme suroñ meñ giit gaatā hai

    koī koyal kuukū meñ ye āhista se kahtā hai

    tujhe jis tamannā hai vo tere dil meñ rahtā hai

    ġharaz har chiiz meñ hai us ke jalvoñ farāvānī

    ayaañ hai zarre zarre se usī ke ruḳh tābānī

    sahar ka waqt hai baiTha hun main phulon ki mahfil mein

    talatum KHez hai mauj-tarannum qulzum dil mein

    jhalakta hai kisi ka husn firdaus-e-nazar ban kar

    kisi ke ashk sabze par machalte hain guhar ban kar

    koi aawaz deta hai mujhe bulbul ke naghmon mein

    uData hai koi meri hansi chhup chhup ke phulon mein

    kisi ki aah-e-sozan ka dhuan gardun pe raqsan hai

    kisi ka KHun-e-dil rang-e-shafaq mein jalwa-afshan hai

    KHamoshi ban ke sar-ta-pa koi baiTha hai sausan mein

    suwaida ban ke pinhan hai koi lale ke daman mein

    koi shaKHon mein chhup kar mere aage sar jhukata hai

    mujhe apni taraf shayad ishaaron se bulata hai

    koi meri taraf nargis ki mast aankhon se takta hai

    main kya jaanun wo in pardon mein kya kuchh dekh sakta hai

    koi zer-e-shajar sayon ki pariyon ko nachata hai

    hua hai ya koi dhime suron mein git gata hai

    koi koyal ki kuku mein ye aahista se kahta hai

    tujhe jis ki tamanna hai wo tere dil mein rahta hai

    gharaz har chiz mein hai us ke jalwon ki farawani

    ayan hai zarre zarre se usi ke ruKH ki tabani

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now