nanha-munna pyara chuza
laa.ī huuñ bāzār se chūza
nanhā-munnā pyārā chūza
dum hai chhoTī pyārī is kī
choñch bhī lagtī nyārī is kī
chūñ-chūñ kar ke baat batā.e
chhoTū sā hai mujh ko bhaa.e
dāna-dunkā jab vo khaa.e
baa'd meñ is ko niiñd bhī aa.e
sar apne par meñ vo chhupā.e
khaḌe khaḌe hī phir so jaa.e
billī se hai ḳhuub vo Dartā
dekhe to phir jhaT se chhuptā
billī phir jab hai so jaatī
saañs meñ us ke saañs hai aatī
chiiñ chiiñ chiiñ chiiñ shor machātā
bhāgtā mere paas vo aatā
lai hun bazar se chuza
nanha-munna pyara chuza
dum hai chhoTi pyari is ki
chonch bhi lagti nyari is ki
chun-chun kar ke baat batae
chhoTu sa hai mujh ko bhae
dana-dunka jab wo khae
ba'd mein is ko nind bhi aae
sar apne par mein wo chhupae
khaDe khaDe hi phir so jae
billi se hai KHub wo Darta
dekhe to phir jhaT se chhupta
billi phir jab hai so jati
sans mein us ke sans hai aati
chin chin chin chin shor machata
bhagta mere pas wo aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.