Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

narm aawazon ke bich

Aslam Emadi

narm aawazon ke bich

Aslam Emadi

MORE BYAslam Emadi

    narm āvāzoñ se ik niilī ḳhamoshī hai ravāñ

    yak-ba-yak uḌ ga.e

    vo kaale parind

    jin ke sāyoñ se shuāoñ meñ thī ik be-ḳhvābī

    ab vahī ḳhufta-mizājī vahī be-harf ḳhumār

    narm āvāzoñ thapkī se

    ye sab hosh o havās

    apne iz.hār ke bahte hue dariyā jagah

    barf jhiil bane

    chīḳh jo naġhma-e-āzād lahrātī thī

    naġhme meñ ġharq huī

    vasl shab meñ vahī sham.a banī

    thartharātī rahī

    hoñT jo teġha-e-ejāz pe chaspāñ the vo sab

    ik sahāfī qalam ban ke rahe be-ma.anī

    narm āvāzoñ ke sailāb meñ ai kaash kabhī

    hādsa ho koī kashtī kisī sāhil se kahīñ Takrā jaa.e

    phailtī raat kabhī tharrā jaa.e

    narm aawazon se ek nili KHamoshi hai rawan

    yak-ba-yak uD gae

    wo kale parind

    jin ke sayon se shuaon mein thi ek be-KHwabi

    ab wahi KHufta-mizaji wahi be-harf KHumar

    narm aawazon ki thapki se

    ye sab hosh o hawas

    apne izhaar ke bahte hue dariya ki jagah

    barf ki jhil bane

    chiKH jo naghma-e-azad si lahraati thi

    naghme mein gharq hui

    wasl ki shab mein wahi shama bani

    thartharaati hi rahi

    honT jo tegha-e-ejaz pe chaspan the wo sab

    ek sahafi ka qalam ban ke rahe be-mani

    narm aawazon ke sailab mein ai kash kabhi

    hadsa ho koi kashti kisi sahil se kahin Takra jae

    phailti raat kabhi tharra jae

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    narm aawazon ke bich Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now