Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nasab-zade

Zubair Rizvi

nasab-zade

Zubair Rizvi

MORE BYZubair Rizvi

    purānī baat hai

    lekin ye anhonī lagtī hai

    vo jab paidā hue

    un ke qabīle ne

    ka.ī rāteñ

    mubārak sā.atoñ ke jashn meñ kāTīñ

    ḳhudā bartarī ke giit gaa.e

    aur ġhulāmoñ bāñdiyoñ ko qaid se āzād kar Daalā

    ka.ī din un ke ḳheme

    chīḳhtī ḳhushiyoñ gahvāra rahe

    un ke buzurgoñ ne

    ġharīboñ aur mohtājoñ ko

    jins be-bahā bāñTī

    bahut se jānvar zab.h kiye

    saare qabīle ne

    ka.ī din tak

    kuoñ se Dol khīñche

    rāh-gīroñ duā.eñ liiñ

    vo sab nau-zāidoñ ko god meñ le kar

    rajaz gaate

    salaf ke kārnāmoñ bayāñ karte

    vo jab paidā hue

    farḳhanda tāle.a the

    magar ik din

    nasab-zādoñ ne

    apne astabal khole

    sabā-raftār ghoḌoñ ke badan par chābukeñ mārīñ

    havā ke dosh par neze uchhāle

    nek tīnat tā.ifoñ bastiyāñ tārāj kar aa.e

    vo pahlī raat thī

    un ke qabīle koī aurat

    nasab-bardār apne shauharoñ god meñ aa kar nahīñ soī

    purani baat hai

    lekin ye anhoni si lagti hai

    wo jab paida hue

    un ke qabile ne

    kai raaten

    mubarak saaton ke jashn mein kaTin

    KHuda ki bartari ke git gae

    aur ghulamon bandiyon ko qaid se aazad kar Dala

    kai din un ke KHeme

    chiKHti KHushiyon ka gahwara rahe

    un ke buzurgon ne

    gharibon aur mohtajon ko

    jins be-baha banTi

    bahut se jaanwar zabh kiye

    sare qabile ne

    kai din tak

    kuon se Dol khinche

    rah-giron ki duaen lin

    wo sab nau-zaidon ko god mein le kar

    rajaz gate

    salaf ke karnamon ka bayan karte

    wo jab paida hue

    farKHanda talea the

    magar ek din

    nasab-zadon ne

    apne astabal khole

    saba-raftar ghoDon ke badan par chabuken marin

    hawa ke dosh par neze uchhaale

    nek tinat taifon ki bastiyan taraj kar aae

    wo pahli raat thi

    un ke qabile ki koi aurat

    nasab-bardar apne shauharon ki god mein aa kar nahin soi

    Source:

    purani baat hai (Pg. 26)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now