Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nashr-gah

Wazir Agha

nashr-gah

Wazir Agha

MORE BYWazir Agha

    Interesting Fact

    (Auraq, Lahore, September-October 1973)

    faqat apne hone elaan maiñ ne kiyā

    par na sochā

    kahāñ se chalā thā kahāñ aa ke Thahrā

    maiñ kis manzil-e-be-nishāñ taraf ab ravāñ huuñ

    mujhe ḳhushk bad-rañg chamḌe pe likkhe savāloñ se raġhbat

    nahīñ thī

    maiñ mantiq varzish se ḳhud ko thakānā nahīñ chāhtā thā

    faqat apne hone elaan maiñ ne kiyā

    aur dekhā

    falak siyah gahrī sūkhī huī bā.ulī se

    karoḌoñ sitāre

    shuāoñ be-samt be-lafz gūñgī zabāñ meñ

    larazte laboñ se

    na hone ke munkir the

    hone elaan karte chale rahe the

    faqat apne hone elaan maiñ ne kiyā

    aur betāb phūloñ se sāvan ke jhūloñ se

    chiḌiyoñ ke lorī se

    har zinda hastī ke sāñsoñ Dorī se

    āvāz aa.ī

    mujhe apne hone haqq-ul-yaqīñ hai

    maiñ elaan kartī huuñ apnā

    ajab silsila thā

    karoḌoñ baras masāfat pe phailā huā saarā aalam

    sadāoñ lahroñ ik chīḳhtī nashr-gah ban chukā thā

    faqat apne hone elaan kartā chalā rahā thā

    ye elaan kis ke liye thā

    tujhe kyā ḳhabar hai

    is nashr-gah faqat ek adnā mulāzim

    kuchh bhī nahīñ jāntā hai

    faqat apne hone ka elan main ne kiya

    par na socha

    kahan se chala tha kahan aa ke Thahra

    main kis manzil-e-be-nishan ki taraf ab rawan hun

    mujhe KHushk bad-rang chamDe pe likkhe sawalon se raghbat

    nahin thi

    main mantiq ki warzish se KHud ko thakana nahin chahta tha

    faqat apne hone ka elan main ne kiya

    aur dekha

    falak ki siyah gahri sukhi hui bauli se

    karoDon sitare

    shuaon ki be-samt be-lafz gungi zaban mein

    larazte labon se

    na hone ke munkir the

    hone ka elan karte chale ja rahe the

    faqat apne hone ka elan main ne kiya

    aur betab phulon se sawan ke jhulon se

    chiDiyon ke lori se

    har zinda hasti ke sanson ki Dori se

    aawaz aai

    mujhe apne hone ka haqq-ul-yaqin hai

    main elan karti hun apna

    ajab silsila tha

    karoDon baras ki masafat pe phaila hua sara aalam

    sadaon ki lahron ki ek chiKHti nashr-gah ban chuka tha

    faqat apne hone ka elan karta chala ja raha tha

    ye elan kis ke liye tha

    tujhe kya KHabar hai

    tu is nashr-gah ka faqat ek adna mulazim

    tu kuchh bhi nahin jaanta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now