Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nauha

Yusuf Rahat

nauha

Yusuf Rahat

MORE BYYusuf Rahat

    ziist aur maut sard-o-vīrān

    do qayāmat numā sarhadeñ

    aur pahlū meñ in sarhadoñ ke

    vo dhundlī bujhtī huī ik lakīr

    jis dahlīz par āḳhirī saañs lete hue

    ruuTh kar ham se koī

    jo is muḳhtasar fāsle se guzar jā.egā

    lauT kar vo nahīñ aa.egā

    sard rātoñ meñ ham us ko āvāz deñ to javāban hameñ

    guuñj sūrat apnī āvāz aatī rahegī

    maut ke sard hoñToñ pe jumbish na hogī

    par unheñ sard tārīk rātoñ ke siine pe tum dekhnā

    kal hameñ ik sitārā chamaktā nazar aa.egā

    aur ḳhāmoshiyoñ meñ hameñ jā-ba-jā ek aahaT mahsūs hogī

    zist aur maut ki sard-o-viran si

    do qayamat numa sarhaden

    aur pahlu mein in sarhadon ke

    wo dhundli si bujhti hui ek lakir

    jis ki dahliz par aaKHiri sans lete hue

    ruTh kar hum se koi

    jo is muKHtasar fasle se guzar jaega

    lauT kar wo nahin aaega

    sard raaton mein hum us ko aawaz den to jawaban hamein

    gunj ki surat apni hi aawaz aati rahegi

    maut ke sard honTon pe jumbish na hogi

    par unhen sard tarik raaton ke sine pe tum dekhna

    kal hamein ek sitara chamakta nazar aaega

    aur KHamoshiyon mein hamein ja-ba-ja ek aahaT si mahsus hogi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now