Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naukri

Nivesh Sahu

naukri

Nivesh Sahu

MORE BYNivesh Sahu

    baat itnī thī

    ek gul-chīñ ke hāthoñ lagāyā gayā baaġh

    us ke hāthoñ se miltī huī parvarish ke liye

    muntazir thā magar

    ab vo gul-chīñ to gul-chīñ rahā nahīñ hai ki us ko

    kisī aur kaam se duur jaanā paḌā hai

    use rang-o-bū chhoḌ kar filoñ ko uThānā paḌā hai

    use fikr itnī hai us ke ugaa.e hue phuul sūkheñ nahīñ

    Tahniyoñ se alag ho ke TūTeñ nahīñ

    aur kisī baat par us se rūTheñ nahīñ

    baat itnī hai

    bāġhbānī koī naukrī to nahīñ

    baaġh samjhe na samjhe ye gul-chīñ to is dukh meñ Duubā huā hai ki us ne abhī tak usī ke lagā.e hue phūloñ ke rang dekhe nahīñ haiñ

    vo bāzār se itr shīshiyāñ ke kamre meñ baiThā huā us mahak ko banāne koshish meñ hai jis se mahrūm hai

    baat itnī hai

    vo jo gul-chīñ thā ab duuje peshe meñ hai

    aur vo apne liye kuchh nahīñ kar rahā

    baat itni si thi

    ek gul-chin ke hathon lagaya gaya bagh

    us ke hi hathon se milti hui parwarish ke liye

    muntazir tha magar

    ab wo gul-chin to gul-chin raha hi nahin hai ki us ko

    kisi aur hi kaam se dur jaana paDa hai

    use rang-o-bu chhoD kar filon ko uThana paDa hai

    use fikr itni hai us ke ugae hue phul sukhen nahin

    Tahniyon se alag ho ke TuTen nahin

    aur kisi baat par us se ruThen nahin

    baat itni si hai

    baghbani koi naukri to nahin

    bagh samjhe na samjhe ye gul-chin to is dukh mein Duba hua hai ki us ne abhi tak usi ke lagae hue phulon ke rang dekhe nahin hain

    wo bazar se itr ki shishiyan la ke kamre mein baiTha hua us mahak ko banane ki koshish mein hai jis se mahrum hai

    baat itni si hai

    wo jo gul-chin tha ab duje peshe mein hai

    aur wo apne liye kuchh nahin kar raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now