nawed-e-safar
maiñ bhī kuchh ḳhvāb sar-e-shahr-e-tamnnā le kar
sar meñ irfān-e-ġham-e-zāt kā saudā le kar
dil meñ armān nahīñ aag kā dariyā le kar
aañkh meñ hasrat-e-dīdār-e-tamāsha le kar
bas yūñhī uTh ke chalā aayā thā be-raḳht-e-safar
gulāb-jismoñ ke sañg sāñsoñ kā sochtā thā
ġhazāl āñkhoñ meñ ghar banāne kī aarzū thī
kisī kī zulfoñ meñ sar chhupānā bhī chāhtā thā
dil-o-nazar meñ tamām manzar hare-bhare the
sadā-e-dil par ravāñ-davāñ sā chalā to thā maiñ
magar vo manzar ki jin manāzir meñ dikh rahā thā nayā saverā
vo saare manzar har ek hasrat dhuāñ dhuāñ sī kahīñ pe ġham hai
magar maiñ ab bhī dabī dabī sī sadā-e-dil hī to sun rahā huuñ
zamāna lekin usī tarah se ravāñ-davāñ hai
udās-o-bad-dil na thā na huuñ maiñ
yahīñ se mujh ko na.e safar kī naved bhī hai
main bhi kuchh KHwab sar-e-shahr-e-tamnna le kar
sar mein irfan-e-gham-e-zat ka sauda le kar
dil mein arman nahin aag ka dariya le kar
aankh mein hasrat-e-didar-e-tamasha le kar
bas yunhi uTh ke chala aaya tha be-raKHt-e-safar
gulab-jismon ke sang sanson ka sochta tha
ghazal aankhon mein ghar banane ki aarzu thi
kisi ki zulfon mein sar chhupana bhi chahta tha
dil-o-nazar mein tamam manzar hare-bhare the
sada-e-dil par rawan-dawan sa chala to tha main
magar wo manzar ki jin manazir mein dikh raha tha naya sawera
wo sare manzar har ek hasrat dhuan dhuan si kahin pe gham hai
magar main ab bhi dabi dabi si sada-e-dil hi to sun raha hun
zamana lekin usi tarah se rawan-dawan hai
udas-o-bad-dil na tha na hun main
yahin se mujh ko nae safar ki nawed bhi hai
- Book : TO MAIN KAHAN HOON (POETRY) (Pg. 105)
- Author : Badr Wasti
- Publication : Madhya Pradesh Urdu Academy (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.