Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naya hukm-nama

Sultan Subhani

naya hukm-nama

Sultan Subhani

MORE BYSultan Subhani

    taġhayyur sailāb aayā

    to zanjīreñ saarī uThā le gayā

    shahanshāhiyat

    sunahrā samundar havā le ga.ī

    aur sab nazar

    ek kaale amāme jānib pur-ummīd ho kar uThī

    sunā thā ki kaale amāme ke andar

    na.e mausamoñ ke

    tilismāt-ḳhānoñ sab kunjiyāñ haiñ

    magar is amāme ke andar

    nayā hukm-nāma

    bahut ḳhūb-sūrat se ḳhanjar se lipTā huā so rahā thā

    vo jaagā

    to chāroñ taraf

    ḳhuun badliyāñ

    qatl āñdhiyāñ

    shor karne lagīñ

    gunahgār kyā

    be-gunāhoñ saarī safeñ kaT ga.iiñ

    ḳhuun ḳhuun har samt bahne lagā

    aur sab ne lahū fasīloñ se dekhā

    ki kaalā amāma shahanshāhiyat nayā ik samundar

    sambhāle khaḌā thā

    taghayyur ka sailab aaya

    to zanjiren sari uTha le gaya

    shahanshahiyat ka

    sunahra samundar hawa le gai

    aur sab ki nazar

    ek kale amame ki jaanib pur-ummid ho kar uThi

    suna tha ki kale amame ke andar

    nae mausamon ke

    tilismat-KHanon ki sab kunjiyan hain

    magar is amame ke andar

    naya hukm-nama

    bahut KHub-surat se KHanjar se lipTa hua so raha tha

    wo jaga

    to chaaron taraf

    KHun ki badliyan

    qatl ki aandhiyan

    shor karne lagin

    gunahgar kya

    be-gunahon ki sari safen kaT gain

    KHun hi KHun har samt bahne laga

    aur sab ne lahu ki fasilon se dekha

    ki kala amama shahanshahiyat ka naya ek samundar

    sambhaale khaDa tha

    Source :
    • Book : Hukm Nama (Pg. 22)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now