Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naya khilauna

Anjum Shakeel

naya khilauna

Anjum Shakeel

MORE BYAnjum Shakeel

    ik parinde sūrat

    maiñ apnī āzād chhoTī duniyā

    meñ thī ḳhush-o-ḳhurram

    to phir kyā huā

    mujhe yaad hai ḳhuub achchhī tarah

    tum aa.e merī zindagī meñ

    prism ek laa.e

    mujhe pesh kar

    na.e is khilaune ke saath

    maiñ bachche mānind ḳhush thī

    khilaune se jab jhāñktī thī

    to duniyā thī lagtī baḌī ḳhūbsūrat

    rang rang thā har taraf

    kabhī to vo qaus-e-quzah ko

    pakaḌne ḳhvāhish machaltī thī mujh meñ

    achānak vo pyārā pyārā khilaunā

    kisī aur ko sauñp dene ḳhātir

    ma.an chhīn kar tum ne mujh se

    mujhe chhoḌ Daalā alag

    ik parinde mānind

    yādoñ ke pinjre meñ jakḌā huā

    ek parinde ki surat

    main apni hi aazad chhoTi si duniya

    mein thi KHush-o-KHurram

    to phir kya hua

    mujhe yaad hai KHub achchhi tarah

    tum aae meri zindagi mein

    prism ek lae

    mujhe pesh kar di

    nae is khilaune ke sath

    main bachche ki manind KHush thi

    khilaune se jab jhankti thi

    to duniya thi lagti baDi KHubsurat

    rang hi rang tha har taraf

    kabhi to wo qaus-e-quzah ko

    pakaDne ki KHwahish machalti thi mujh mein

    achanak hi wo pyara pyara khilauna

    kisi aur ko saunp dene ki KHatir

    man chhin kar tum ne mujh se

    mujhe chhoD Dala alag

    ek parinde ki manind

    yaadon ke pinjre mein jakDa hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now