Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naya prometheus

Aslam Farrukhi

naya prometheus

Aslam Farrukhi

MORE BYAslam Farrukhi

    maiñ ḳhushbū jism samundar āñkhoñ

    ik ḳhvāb churā kar laayā thā

    maiñ aag churā kar laayā thā

    sahrā-e-vajūd tanhā.ī us ḳhvāb se kitnī shādāñ thī

    us ātish-e-larzāñ tābish taḳhlīq zau meñ numāyāñ thī

    mirā ḳhvāb vo merā phuul badan

    marī aag mire fardā chaman

    maiñ ḳhvāboñ se masrūr rahā

    maiñ ātish par maġhrūr rahā

    phir lahr uThī phir qahr huā mirā ḳhvāb mujh ko zahr huā

    patthar chaTTānoñ par mujh ko

    zanjīroñ se vābasta kiyā

    ḳhud aag bhī ik zanjīr banī

    zanjīr banī shamshīr banī

    har qais ne mujh ko ye paiġhām diyā

    ye haal hamesha qaa.em hai is haal istiqbāl nahīñ

    is haal chakkī meñ tum ko har lamhe piste rahnā hai

    tum kaise rihā.ī pāoge

    aisā to koī paidā na huā jo tum ko rihā.ī de aa kar

    tum ḳhvāboñ se masrūr hue jo boyā thā vo kāTo.ge

    sab apne kiye ḳhūbī hai a.amāl ko apne bhugtoge

    koī niiñd nahīñ koī ḳhvāb nahīñ koī nuur nahīñ koī naar nahīñ

    fariyād tumhārī bolī hai alfāz tumhāre aaheñ haiñ

    ik qahr-e-ġhazab kargas ke liye

    hai jism tumhārā dastarḳhavāñ

    vo dastarḳhavāñ pe bikhrī ne.amat se

    maflūj-o-siyāh jigar lazzat se

    har lamhe lutf uThā.egā

    har lamhe shor machā.egā

    maiñ ḳhushbū jism samundar āñkhoñ

    ik ḳhvāb churā kar laayā thā

    maiñ aag churā kar laayā thā

    patthar chaTānoñ ne mujh ko

    ik mufaffa gosht ruup diyā

    zanjīreñ girdā-gird rahīñ

    ik qahr-e-ġhazab kargas ab tak

    kabhī merī āñkheñ nochte haiñ

    kabhī un lahar-e-minqār se mere dil rageñ

    ik ne hikāyat chheḌtī haiñ

    jo mujh ko rihā.ī de aa kar

    jo dard ko ḳhud mahsūs kare

    vo aisī jagah ḳhvābīda hai

    jahāñ sūraj bhī tārīk huā

    kyā jāniye vo kab aa.egā

    kab aa.egā kyā vāqa.ī aa.egā

    main KHushbu jism samundar aankhon ka

    ek KHwab chura kar laya tha

    main aag chura kar laya tha

    sahra-e-wajud ki tanhai us KHwab se kitni shadan thi

    us aatish-e-larzan ki tabish taKHliq ki zau mein numayan thi

    mera KHwab wo mera phul badan

    mari aag mere farda ka chaman

    main KHwabon se masrur raha

    main aatish par maghrur raha

    phir lahr uThi phir qahr hua mera KHwab hi mujh ko zahr hua

    patthar ki chaTTanon par mujh ko

    zanjiron se wabasta kiya

    KHud aag bhi ek zanjir bani

    zanjir bani shamshir bani

    har qais ne mujh ko ye paigham diya

    ye haal hamesha qaem hai is haal ka istiqbaal nahin

    is haal ki chakki mein tum ko har lamhe piste rahna hai

    tum kaise rihai paoge

    aisa to koi paida na hua jo tum ko rihai de aa kar

    tum KHwabon se masrur hue jo boya tha wo kaToge

    sab apne kiye ki KHubi hai aamal ko apne bhugtoge

    koi nind nahin koi KHwab nahin koi nur nahin koi nar nahin

    fariyaad tumhaari boli hai alfaz tumhaare aahen hain

    ek qahr-e-ghazab kargas ke liye

    hai jism tumhaara dastarKHawan

    wo dastarKHawan pe bikhri neamat se

    mafluj-o-siyah jigar ki lazzat se

    har lamhe lutf uThaega

    har lamhe shor machaega

    main KHushbu jism samundar aankhon ka

    ek KHwab chura kar laya tha

    main aag chura kar laya tha

    patthar ki chaTanon ne mujh ko

    ek mufaffa gosht ka rup diya

    zanjiren girda-gird rahin

    ek qahr-e-ghazab kargas ab tak

    kabhi meri aankhen nochte hain

    kabhi un ki lahar-e-minqar se mere dil ki ragen

    ek ne ki hikayat chheDti hain

    jo mujh ko rihai de aa kar

    jo dard ko KHud mahsus kare

    wo aisi jagah KHwabida hai

    jahan suraj bhi tarik hua

    kya jaaniye wo kab aaega

    kab aaega kya waqai aaega

    Source:

    siip (Magzin) (Pg. 165)

    • Author: Nasiim Durraani
      • Edition: 39 (Quarterly)
      • Publisher: Fikr-e-Nau
      • Year of Publication: 39 (Quarterly)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now