Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naya sal

MORE BYAbhishek Kumar Amber

    na ham badle na tum badle

    na chāñd sitāre badle

    sūraj bhī abhī hai pahle

    mausam bhī vahī hai sardī

    fasleñ bhī vahī haiñ sarsoñ

    vahī būḌhī daadī barsoñ

    dariyā meñ zarā ufaan hai kam

    miTTī bhī nahīñ pahle nam

    peḌoñ se bahāreñ ġhā.eb haiñ

    paudoñ nazākat bhī hai gum

    ik tārīḳh badalne ko keval

    nayā saal aayā kahte ho tum

    na hum badle na tum badle

    na chand sitare hi badle

    suraj bhi abhi hai pahle sa

    mausam bhi wahi hai sardi ka

    faslen bhi wahi hain sarson ki

    wahi buDhi dadi barson ki

    dariya mein zara ufan hai kam

    miTTi bhi nahin pahle si nam

    peDon se bahaaren ghaeb hain

    paudon ki nazakat bhi hai gum

    ek tariKH badalne ko kewal

    naya sal aaya kahte ho tum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now