Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazm

MORE BYMajeed Amjad

    Interesting Fact

    (Auraq, Lahore, March, April, 1973)

    aur phir ik din maiñ aur tum in ūñchī nīchī dīvāroñ ke jhurmuT meñ utre

    jin meñ kabhī hamārī rūhoñ ko zinda chun diyā gayā thā

    is vaqt āñgan āñgan meñ tirchhī kirnoñ ne dhuup ke kañgare sāyoñ qāshoñ meñ Taañk diye the

    dekhā huā koī samāñ purānā us din ham ne dekhā

    yuuñ lagtā thā jaise āsmānoñ raushaniyāñ jhuk jhuk kar us ik qarye ko dekh rahī thiiñ

    aur hameñ tab vo din yaad aa.e jab maut hamārī zindagiyoñ se guzar rahī thī aisī sub.hoñ oT meñ

    ham un zīna-ba-zīna muñDeroñ ke jhurmuT meñ the

    aur us shahr ke log ab bhī galiyoñ meñ ḳhvāñche lagā.e apnī zindagiyoñ ko saj rahe the

    aur phir ham ne sochā

    kaun achchhā hai ham jo murda chehroñ se jiine ḳhvāhish paate haiñ vo jo

    ham ko zinda dekh ke hamārī maut ko maan lete haiñ

    abhī abhī to mere saath saath the ham use guzre hue zamānoñ ke ḳhayālo phir kab lauToge

    ik din phir bhī tumhāre saath is ḳhaak ke taḳhte tak jā.ūñgā

    jis se Dhake hue be-nūr gaḌhoñ meñ

    kuchh nādīda āñkheñ ham ko dekh ke ab bhī hañs hañs uThtī nazar aatī haiñ

    aur phir ek din main aur tum in unchi nichi diwaron ke jhurmuT mein utre

    jin mein kabhi hamari ruhon ko zinda chun diya gaya tha

    is waqt aangan aangan mein tirchhi kirnon ne dhup ke kangare sayon ki qashon mein Tank diye the

    dekha hua sa koi saman purana us din hum ne dekha

    yun lagta tha jaise aasmanon ki raushaniyan jhuk jhuk kar us ek qarye ko dekh rahi thin

    aur hamein tab wo din yaad aae jab maut hamari zindagiyon se guzar rahi thi aisi hi subhon ki oT mein

    hum un zina-ba-zina munDeron ke jhurmuT mein the

    aur us shahr ke log ab bhi galiyon mein KHwanche lagae apni zindagiyon ko saj rahe the

    aur phir hum ne socha

    kaun achchha hai hum jo murda chehron se jine ki KHwahish pate hain ya wo jo

    hum ko zinda dekh ke hamari maut ko man lete hain

    abhi abhi to mere sath sath the hum use guzre hue zamanon ke KHayalo phir kab lauToge

    ek din phir bhi tumhaare sath is KHak ke taKHte tak jaunga

    jis se Dhake hue be-nur gaDhon mein

    kuchh nadida aankhen hum ko dekh ke ab bhi hans hans uThti nazar aati hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now