Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazm kya hai

Hafiz Karnataki

nazm kya hai

Hafiz Karnataki

MORE BYHafiz Karnataki

    shā.irī do sinfeñ haiñ nazm-o-ġhazal

    urdu meñ in shohrat hai bachcho aTal

    nazm pāband hai nazm āzād bhī

    ye kabhī nasr hai aur muarra kabhī

    nazm-e-pāband meñ vazn hogā myaañ

    aur āzād meñ bhī hai is nishāñ

    nazm-e-pāband tarz hai jo latīf

    is meñ pāoge tum qāfiya-o-radīf

    nasrī nazmoñ meñ bas nasr nasr hai

    vazn aur qāfiya hai na bahr hai

    vazn aur qāfiye jin ko mushkil hue

    nasrī nazmeñ umūman vo kahte lage

    vazn nazm-e-muarra meñ hai dosto

    is ko tum be-radīf-o-qavāfī kaho

    masnavī ho qasīda ho marsiya

    nazm miltā hai bachcho ham ko patā

    nazm meñ silsila hai ḳhayālāt

    ek dariyā hai dekho jazbāt

    vo muḳhammas ho ho musaddas koī

    ye bhī ik shakl hai nazm-e-pāband

    vo ġhazal ho ki ho nazm bachcho suno

    donoñ yaksāñ haiñ shohrat meñ bas jaan lo

    'josh' nazmeñ mash.hūr haiñ har jagah

    haiñ ġhazal ke 'jigar' vāqa.ī bādshah

    nazm meñ jo kahānī kahī jā.egī

    shauq se ai miyāñ vo sunī jā.egī

    nazmeñ sīmāb-o-iqbāl ne bhī likhīñ

    jo nihāyat mash.hūr sābit huiiñ

    kartā huuñ bachchoñ ke vāste maiñ duā

    nazmeñ bachchoñ likhtā huuñ 'hāfiz' sadā

    shairi ki do sinfen hain nazm-o-ghazal

    urdu mein in ki shohrat hai bachcho aTal

    nazm paband hai nazm aazad bhi

    ye kabhi nasr hai aur muarra kabhi

    nazm-e-paband mein wazn hoga myan

    aur aazad mein bhi hai is ka nishan

    nazm-e-paband ka tarz hai jo latif

    is mein paoge tum qafiya-o-radif

    nasri nazmon mein bas nasr hi nasr hai

    wazn aur qafiya hai na hi bahr hai

    wazn aur qafiye jin ko mushkil hue

    nasri nazmen umuman wo kahte lage

    wazn nazm-e-muarra mein hai dosto

    is ko tum be-radif-o-qawafi kaho

    masnawi ho qasida ho ya marsiya

    nazm ka milta hai bachcho hum ko pata

    nazm mein silsila hai KHayalat ka

    ek dariya sa hai dekho jazbaat ka

    wo muKHammas ho ya ho musaddas koi

    ye bhi ek shakl hai nazm-e-paband ki

    wo ghazal ho ki ho nazm bachcho suno

    donon yaksan hain shohrat mein bas jaan lo

    'josh' ki nazmen mashhur hain har jagah

    hain ghazal ke 'jigar' waqai baadshah

    nazm mein jo kahani kahi jaegi

    shauq se ai miyan wo suni jaegi

    nazmen simab-o-iqbaal ne bhi likhin

    jo nihayat hi mashhur sabit huin

    karta hun bachchon ke waste main dua

    nazmen bachchon ki likhta hun 'hafiz' sada

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now