Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazm

MORE BYNafeesa Sultana Ana

    mire shahar meñ mirī āḳhirī

    vo ajiib shab thī visāl

    ki chaman meñ chhāyā dhuāñ thā

    kahāñ shabnamī vo bahār thī

    vo chamelī ḳhushbū bikhertī

    vo bharī shāḳheñ gulāb

    ki har ek pattī thī nauha-ḳhvāñ

    thī kalī kalī bhī niDhāl

    the vo mujh se jaise gila-kunāñ

    maiñ chalī huuñ kyoñ unheñ chhoḌ ke

    thiiñ laraztī kāñptī Dāliyāñ

    ki laboñ pe sab ke the marsiye

    ye bayān karte the pairahan

    hameñ ḳhud se tum na judā karo

    tirī ḳhushbūoñ meñ base haiñ ham

    hameñ apne saath le chalo

    thā ajiib shor har taraf

    ki samā.ateñ bhī laraz ga.iiñ

    mirī siskiyāñ mirī aaheñ bhī

    mire dil meñ ḳhauf se chhupīñ

    na samay rukā na maiñ ruk sakī

    ki vatan mujh se bichhaḌ gayā

    vahī miTTī jis ḳhamīr thī

    vahī shahar mujh se bichhaḌ gayā

    mere shahar mein meri aaKHiri

    wo ajib shab thi visal ki

    ki chaman mein chhaya dhuan sa tha

    kahan shabnami wo bahaar thi

    wo chameli KHushbu bikherti

    wo bhari si shaKHen gulab si

    ki har ek patti thi nauha-KHwan

    thi kali kali bhi niDhaal si

    the wo mujh se jaise gila-kunan

    main chali hun kyon unhen chhoD ke

    thin larazti kanpti Daliyan

    ki labon pe sab ke the marsiye

    ye bayan karte the pairahan

    hamein KHud se tum na juda karo

    teri KHushbuon mein base hain hum

    hamein apne sath hi le chalo

    tha ajib shor sa har taraf

    ki samaaten bhi laraz gain

    meri siskiyan meri aahen bhi

    mere dil mein KHauf se ja chhupin

    na samay ruka na main ruk saki

    ki watan hi mujh se bichhaD gaya

    wahi miTTi jis ka KHamir thi

    wahi shahar mujh se bichhaD gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now