Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazm

MORE BYMohammad Izhar ul Haq

    ghane peḌ shāḳhoñ pe baur aur ūñche pahāḌ

    harī jhāḌiyāñ aur sabze moTī taheñ

    saḌak ke kināroñ pe khamboñ ke taar havā se hileñ sarsarā.eñ

    rasīle jhakoroñ meñ vo tez nashsha ki bas so jaa.eñ

    kisī ek ko pyaas lag jaa.e to sab ke sab khelte muskurāte

    nashebī chaTānoñ meñ bahte hue mīThe jharne jānib

    chaleñ aur hāthoñ ke pyāle ko ik dūsre ke laboñ se lagā deñ

    kabhī koī bus aa.e aur jo bhī utre ḳhulūs-o-mohabbat se ahvāl-pursī kare

    aur asbāb sar par dhare gaañv rāsta le

    kabhī koī charvāhā kañdhe pe lāThī rakhe aur hāthoñ ko lāThī pe laTkā.e

    āhista āhista revaḌ liye guzre aur pūchhtā jaa.e

    kyuuñ kahāñ rahe ho

    kabhī duur ke khet se ik madhur taan uThe aur sab bhuul jaa.eñ

    ki kyā kah rahe the

    phir abbā nazar aa.eñ aur

    kañkaroñ aur lakīroñ dil-chasp ma.asūm baazī ko sab bhuul jaa.eñ

    koī ziin ghoḌe pe kasne lage koī sāmān uThā.e

    shahr se aane vaale phaloñ mahak har taraf phail jaa.e

    khilaunoñ jhankār dil meñ ajab gudgudī machā.e

    havelī ke chobī munaqqash baḌe dar pe daadī khaḌī muntazir hoñ

    nāshta kab se tayyār hai

    aaTh bajne ko haiñ aaj office nahīñ

    jā.eñge kyā

    ghane peD shaKHon pe baur aur unche pahaD

    hari jhaDiyan aur sabze ki moTi tahen

    saDak ke kinaron pe khambon ke tar hawa se hilen sarsaraen

    rasile jhakoron mein wo tez nashsha ki bas so hi jaen

    kisi ek ko pyas lag jae to sab ke sab khelte muskuraate

    nashebi chaTanon mein bahte hue miThe jharne ki jaanib

    chalen aur hathon ke pyale ko ek dusre ke labon se laga den

    kabhi koi bus aae aur jo bhi utre KHulus-o-mohabbat se ahwal-pursi kare

    aur asbab sar par dhare ganw ka rasta le

    kabhi koi charwaha kandhe pe laThi rakhe aur hathon ko laThi pe laTkae

    aahista aahista rewaD liye guzre aur puchhta jae

    kyun ji kahan ja rahe ho

    kabhi dur ke khet se ek madhur tan uThe aur sab bhul jaen

    ki kya kah rahe the

    phir abba nazar aaen aur

    kankaron aur lakiron ki dil-chasp masum bazi ko sab bhul jaen

    koi zin ghoDe pe kasne lage koi saman uThae

    shahr se aane wale phalon ki mahak har taraf phail jae

    khilaunon ki jhankar dil mein ajab gudgudi si machae

    haweli ke chobi munaqqash baDe dar pe dadi khaDi muntazir hon

    nashta kab se tayyar hai

    aaTh bajne ko hain aaj office nahin

    jaenge kya

    Source:

    meyaar (Pg. 134)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now