nazm mujhe likhti hai
maiñ nazm ko nahīñ likhtī
nazm mujhe likhtī hai
nazm mere hoñToñ se hañstī
merī āñkhoñ se rotī hai
maiñ masrūf hotī huuñ to
nazm mere bistar par ārām kartī hai
nazm kī ḳhvāboñ bharī niilī āñkheñ
merā ta.āqub kartī haiñ to
merā ḳhālī-pan lafzoñ se bhar jaatā hai
aur jab surma.ī shaam
raat kī añdherī kokh meñ
ziina ziina utartī hai to
nazm yādoñ kī poTlī khol kar baiTh jaatī hai
yādeñ saf.ha-e-qirtās par phail jaatī haiñ
aur phir parat-dar-parat
nazm mujhe likhtī hai
maan lo
maiñ nazm ko nahīñ likhtī
main nazm ko nahin likhti
nazm mujhe likhti hai
nazm mere honTon se hansti
meri aankhon se roti hai
main masruf hoti hun to
nazm mere bistar par aaram karti hai
nazm ki KHwabon bhari nili aankhen
mera taaqub karti hain to
mera KHali-pan lafzon se bhar jata hai
aur jab surmai sham
raat ki andheri kokh mein
zina zina utarti hai to
nazm yaadon ki poTli khol kar baiTh jati hai
yaaden safha-e-qirtas par phail jati hain
aur phir parat-dar-parat
nazm mujhe likhti hai
man lo
main nazm ko nahin likhti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.