Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazm

Kainaat

nazm

Kainaat

MORE BYKainaat

    tumhārī qurbat meñ biitā vaqfa

    ḳhumār ban kar mire tanaffus meñ be-tahāsha mahak rahā hai

    tumhārī sāda-dilī ne dil tamām duniyā pe hashr barpā kiyā huā hai

    kisī bhī jānib nazar uThā.ūñ

    tumhārī gahrī chamaktī āñkhoñ aks

    merī udaas āñkhoñ meñ kauñdtā hai

    ye aks sach bhī hai ḳhvāb bhī hai

    ye aks misl-e-sarāb bhī hai

    maiñ is tamāshe se tang aakar jo apnī palkoñ pe haath rakh luuñ to dekhtī huuñ

    ki lams ab tak tumhāre hāthoñ mere hāthoñ uñgliyoñ se guthā huā hai

    ye lams ātish hai aab bhī hai

    ye lams misl-e-azāb bhī hai

    mujhe ḳhabar hai ki merī vahshat haq aur bātil ain sarhad pe aa rukī hai

    mirī mohabbat ke paak dāman pe daaġh lagne meñ bas ek nuqte kamī hai

    aur aisī nāzuk ghaḌī meñ jab ki ghaḌī sāñseñ bhī

    apnā rastā bhaTak rahī haiñ mujhe pata hai

    ki meñ jo bhaTkī rah-e-vafā se

    to phir jahāñ meñ sivā fareboñ ke kyā bachegā

    kahāñ bachegī koī sadāqat

    koī bharosa kahāñ bachegā

    so chāhtī huuñ

    ye saarā vaqfa jo mujh ko ḳhvāboñ lag rahā hai vo ḳhvāb ho

    ye saarā vaqfa ki jis pe sach vahm hai mujh ko sarāb ho

    tumhaari qurbat mein bita waqfa

    KHumar ban kar mere tanaffus mein be-tahasha mahak raha hai

    tumhaari sada-dili ne dil ki tamam duniya pe hashr barpa kiya hua hai

    kisi bhi jaanib nazar uThaun

    tumhaari gahri chamakti aankhon ka aks

    meri udas aankhon mein kaundta hai

    ye aks sach bhi hai KHwab bhi hai

    ye aks misl-e-sarab bhi hai

    main is tamashe se tang aakar jo apni palkon pe hath rakh lun to dekhti hun

    ki lams ab tak tumhaare hathon ka mere hathon ki ungliyon se gutha hua hai

    ye lams aatish hai aab bhi hai

    ye lams misl-e-azab bhi hai

    mujhe KHabar hai ki meri wahshat haq aur baatil ki ain sarhad pe aa ruki hai

    meri mohabbat ke pak daman pe dagh lagne mein bas ek nuqte ki hi kami hai

    aur aisi nazuk ghaDi mein jab ki ghaDi ki sansen bhi

    apna rasta bhaTak rahi hain mujhe pata hai

    ki mein jo bhaTki rah-e-wafa se

    to phir jahan mein siwa farebon ke kya bachega

    kahan bachegi koi sadaqat

    koi bharosa kahan bachega

    so chahti hun

    ye sara waqfa jo mujh ko KHwabon sa lag raha hai wo KHwab hi ho

    ye sara waqfa ki jis pe sach ka wahm hai mujh ko sarab hi ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now