Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazm

MORE BYTahzeeb Hafi

    kisī aur duniyā meñ milī thī mujh se

    kisī aur manzar mahak laa.ī thī

    Dar rahā thā ki kahīñ zaḳhm na bhar jaa.eñ mire

    aur muTThiyāñ bhar bhar ke namak laa.ī thī

    aur tarh āñkheñ thiiñ tire chehre par

    kisī aur sitāre se chamak laa.ī thī

    terī āvāz sab kuchh thī mujhe monis-e-jāñ

    kyā karūñ maiñ ki bolī bahut kam mujh se

    terī chup se ye mahsūs kiyā thā maiñ ne

    jiit jā.egā kisī roz tirā ġham mujh se

    shahr āvāzeñ lagātā thā magar chup thī

    ye ta'alluq mujhe khātā thā magar chup thī

    vahī anjām thā jo 'ishq āġhāz se hai

    tujh ko paayā bhī nahīñ thā ki tujhe khonā thā

    chalī aatī hai yahī rasm ka.ī sadiyoñ se

    yahī hotā hai yahī hogā yahī honā thā

    pūchhtā rahtā thā tujh se ki batā kyā dukh hai

    aur mirī aañkh meñ aañsū bhī nahīñ hote the

    maiñ ne andāze lagā.e ki sabab kyā hogā

    par mire tiir tarāzū bhī nahīñ hote the

    jis Dar thā mujhe mā'lūm paḌā logoñ se

    phir vo ḳhush-baḳht palaT aaya tirī duniyā meñ

    jis ke jaane pe mujhe ne jagah dil meñ

    merī qismat meñ jab ḳhālī jagah likkhī thī

    tujh se shikva bhī agar kartā to kaise kartā

    maiñ vo sabza thā jise rauñd diyā jaatā hai

    maiñ vo jangal thā jise kaaT diyā jaatā hai

    maiñ vo dar thā jise dastak kamī khātī hai

    maiñ vo manzil thā jahāñ TuuTī saḌak jaatī hai

    maiñ vo ghar thā jise ābād nahīñ kartā koī

    maiñ to vo thā ki jise yaad nahīñ kartā koī

    ḳhair is baat ko chhoḌ batā kaisī hai

    ne chāhā thā jise vo tire nazdīk to hai

    kaun se ġham ne tujhe chaaT liyā andar se

    āj-kal phir se chup rahtī hai sab Thiik to hai

    tu kisi aur hi duniya mein mili thi mujh se

    tu kisi aur hi manzar ki mahak lai thi

    Dar raha tha ki kahin zaKHm na bhar jaen mere

    aur tu muTThiyan bhar bhar ke namak lai thi

    aur hi tarh ki aankhen thin tere chehre par

    tu kisi aur sitare se chamak lai thi

    teri aawaz hi sab kuchh thi mujhe monis-e-jaan

    kya karun main ki tu boli hi bahut kam mujh se

    teri chup se hi ye mahsus kiya tha main ne

    jit jaega kisi roz tera gham mujh se

    shahr aawazen lagata tha magar tu chup thi

    ye ta'alluq mujhe khata tha magar tu chup thi

    wahi anjam tha jo 'ishq ka aaghaz se hai

    tujh ko paya bhi nahin tha ki tujhe khona tha

    chali aati hai yahi rasm kai sadiyon se

    yahi hota hai yahi hoga yahi hona tha

    puchhta rahta tha tujh se ki bata kya dukh hai

    aur meri aankh mein aansu bhi nahin hote the

    main ne andaze lagae ki sabab kya hoga

    par mere tir taraazu bhi nahin hote the

    jis ka Dar tha mujhe ma'lum paDa logon se

    phir wo KHush-baKHt palaT aaya teri duniya mein

    jis ke jaane pe mujhe tu ne jagah di dil mein

    meri qismat mein hi jab KHali jagah likkhi thi

    tujh se shikwa bhi agar karta to kaise karta

    main wo sabza tha jise raund diya jata hai

    main wo jangal tha jise kaT diya jata hai

    main wo dar tha jise dastak ki kami khati hai

    main wo manzil tha jahan TuTi saDak jati hai

    main wo ghar tha jise aabaad nahin karta koi

    main to wo tha ki jise yaad nahin karta koi

    KHair is baat ko tu chhoD bata kaisi hai

    tu ne chaha tha jise wo tere nazdik to hai

    kaun se gham ne tujhe chaT liya andar se

    aaj-kal phir se tu chup rahti hai sab Thik to hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now