Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazm

MORE BYGopal Mittal

    ufuq hai naam duurī

    ufuq ke us taraf kuchh bhī nahīñ hai log kahte haiñ

    magar ye log vo haiñ jo mire ḳhvāboñ bhī takzīb karte haiñ

    agarche ḳhvāb zinda haqīqat haiñ

    bahut muddat huī bichhḌe hue tum se

    magar har raat ab bhī ḳhvāb meñ aa kar

    vafā ke 'ahd tajdīd kar jaatī ho tum

    chupke se kahtī ho

    ufuq ke us taraf kuchh bhī nahīñ

    maiñ bhī nahīñ tum bhī nahīñ lekin

    ufuq ke us taraf jo kuchh hai vo zinda haqīqat hai

    ufuq ke paar apnā milan hogā

    ufuq hai nam duri ka

    ufuq ke us taraf kuchh bhi nahin hai log kahte hain

    magar ye log wo hain jo mere KHwabon ki bhi takzib karte hain

    agarche KHwab hi zinda haqiqat hain

    bahut muddat hui bichhDe hue tum se

    magar har raat ab bhi KHwab mein aa kar

    wafa ke 'ahd ki tajdid kar jati ho tum

    chupke se kahti ho

    ufuq ke us taraf kuchh bhi nahin

    main bhi nahin tum bhi nahin lekin

    ufuq ke us taraf jo kuchh hai wo zinda haqiqat hai

    ufuq ke par hi apna milan hoga

    Source:

    (Pg. 251)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now