Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazm

Asim Badr

nazm

Asim Badr

MORE BYAsim Badr

    ye pahlī nazm un āñkhoñ ḳhātir hai

    ki jin meñ chāñd tāroñ chamaktī shāh-rāhoñ par hazāroñ an-kahe jazbe hayā surḳh hiddat se pighalte haiñ

    ki jin meñ ḳhvāb rātoñ meñ ufuq se ek shahzāda mohabbat na.ī nazmeñ liye nīche utartā hai

    ki jin meñ ishq har ujlī sahar ummīd raushan zamīñ par ḳhvāhishoñ ke jism meñ tajsīm hotā hai

    ki jin meñ dāstān-e-dil munaqqash atlasī aurāq par āyāt-e-rabbānī sūrat meñ bikhartā hai

    ye pahlī nazm un sāñsoñ ḳhātir hai

    ki jin meñ barahna bārish utar kar regzāroñ tapish ālūd rāhoñ ko gul-e-gulzār kartī hai

    ki jin meñ hijr mausam tapish yāqūt ke donoñ kināroñ se kisī sayyāl sūrat pahuñchtī hai

    ki jin ke sabz-zāroñ meñ rupahle ishq pahlī sunahrī shaam yādeñ mahaktī haiñ

    ki jin meñ kapkapāte vasl sargoshiyāñ silvaT-zada yādoñ shakloñ meñ utartī haiñ

    ye pahlī nazm un ḳhvāboñ ḳhātir hai

    jo darja ḳhāmushī se haath resham lakīroñ meñ panapte ḳhvāhishoñ ko dekh kar ḳhush-rañg khultī haiñ

    ki jin āñkhoñ gahrī jhiil meñ suufī mohabbat jaaz maddham dhunoñ par raqs kartī haiñ

    ki jis ke lā-ḳharāshīda badan ke zard maa.il varaq par se hijr ke nuqte miTā kar vasl likhnā hai

    pighalte vaqt ko jis chāñd dāman meñ libās-e-mushk oḌhe yak-digar ho kar Thaharnā hai

    ye pahlī nazm un āñkhoñ ḳhātir hai ye pahlī nazm un sāñsoñ ḳhātir hai ye pahlī nazm un ḳhvāboñ ḳhātir hai

    ye pahli nazm un aankhon ki KHatir hai

    ki jin mein chand taron si chamakti shah-rahon par hazaron an-kahe jazbe haya ki surKH hiddat se pighalte hain

    ki jin mein KHwab raaton mein ufuq se ek shahzada mohabbat ki nai nazmen liye niche utarta hai

    ki jin mein ishq har ujli sahar ummid ki raushan zamin par KHwahishon ke jism mein tajsim hota hai

    ki jin mein dastan-e-dil munaqqash atlasi auraq par aayat-e-rabbani ki surat mein bikharta hai

    ye pahli nazm un sanson ki KHatir hai

    ki jin mein barahna barish utar kar regzaron ki tapish aalud rahon ko gul-e-gulzar karti hai

    ki jin mein hijr mausam ki tapish yaqut ke donon kinaron se kisi sayyal ki surat pahunchti hai

    ki jin ke sabz-zaron mein rupahle ishq ki pahli sunahri sham ki yaaden mahakti hain

    ki jin mein kapkapate wasl ki sargoshiyan silwaT-zada yaadon ki shaklon mein utarti hain

    ye pahli nazm un KHwabon ki KHatir hai

    jo darja KHamushi se hath ki resham lakiron mein panapte KHwahishon ko dekh kar KHush-rang khulti hain

    ki jin aankhon ki gahri jhil mein sufi mohabbat jaz ki maddham dhunon par raqs karti hain

    ki jis ke la-KHarashida badan ke zard mail waraq par se hijr ke nuqte miTa kar wasl likhna hai

    pighalte waqt ko jis chand daman mein libas-e-mushk oDhe yak-digar ho kar Thaharna hai

    ye pahli nazm un aankhon ki KHatir hai ye pahli nazm un sanson ki KHatir hai ye pahli nazm un KHwabon ki KHatir hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now