nazm
jab sitāre kahīñ nahīñ hote
āsmāñ bādaloñ kī chādar meñ
der tak mahv-e-ḳhvāb rahtā hai
aisā lagtā hai kho gayā sab kuchh
koī dariyā Dubo gayā sab kuchh
dhuup khiḌkī se aa nahīñ paatī
sāmne rahne vaalī chīzoñ ko
ham achānak chhupāne lagte haiñ
ḳhatm hotī huī mohabbat ko
apne dil meñ samone lagte haiñ
zindagī kī purānī roTī ko
āñsuoñ se bhigone lagte haiñ
jab sitare kahin nahin hote
aasman baadalon ki chadar mein
der tak mahw-e-KHwab rahta hai
aisa lagta hai kho gaya sab kuchh
koi dariya Dubo gaya sab kuchh
dhup khiDki se aa nahin pati
samne rahne wali chizon ko
hum achanak chhupane lagte hain
KHatm hoti hui mohabbat ko
apne dil mein samone lagte hain
zindagi ki purani roTi ko
aansuon se bhigone lagte hain
- Book : saarii nazmen (Pg. 808)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.